Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadGHMC polling booth par 17 sala taalib-e-ilm Assistant presiding officer, tehqiqaat ka...

GHMC polling booth par 17 sala taalib-e-ilm Assistant presiding officer, tehqiqaat ka aaghaz

Hyderabad: Riyasat-e-Telangana mein opposition jamaaton ke rehnumao ne ilzaam lagaya ke GHMC intikhabaat ke liye ek 17 sala taalib-e-ilm ko assistant presiding officer muqarrar kiya gaya hai aur woh chahtay hain ke Telangana high court is muamlay ki tehqiqaat ka aaghaz kare.

Congress qaideen konda vishweshwar reddy ne Twitter par polling booth se ek video share ki jahan yeh 17 sala taalib-e-ilm mangal ko GHMC intikhabaat ke douran Telangana state election commission ke zareya jari kardah sarkari shanakhti card pehnay hue dekha gaya tha.

Card mein 17 sala taalib-e-ilm varun sagar ki shanakht saroor nagar ke ilaqay IS sadan mein ward number 38 ke assistant presiding officer ki hesiyat se ki gayi hai. congress ke qaumi tarjuman ne kaha Telangana state election commission jo aeen ka Pasban samjha jata hai, usay khatam karne ka sazshi markaz bangaya hai.

Haqeeqat ye hai ke ek kam Umar ladka jiske paas raye dahi ka bhi haq nahi hai, assistant presiding officer ke ohday par muqarrar kiya gaya hai jo commission ki be-hisi ko zahir karta hai.

Commissionaire ne intikhabaat ke saaray amal ko jornay mein mashkook kirdaar ada kiya hai. Telangana high court se appeal hai ke woh mudakhlat kare aur is gustakhana intikhab ki tehqiqaat ka hukum den.

Telangana congress ke rehnuma aur sabiq rukan parliment konda vishweshwar reddy ne tweet kiya ek 17 sala taalib-e-ilm ko polling Officer muqarrar kiya gaya hai. Din ke ekhtataam par voton ke sath form 21 par ballot box number ke sath polling afsaraan ke dastakhat hotay hain. Ballot box ke liye is mein column nahi tha. polling afsaraan tarbiyat Yafta nahi thay jo qawaid se be khabar rahay.

sabiq rukan parliment aur congress leader mister konda vishweshwar reddy ne mazeed kaha ke un jaisay waqeat se riyasat Telangana mein jamhoriat se hamara yaqeen khatam hojata hai. asaatzaa ko intikhabi agent honay se na-ahal qarar dena aur 17 sala taalib-e-ilm jo khud polling officer ki hesiyat se ahal nahi hai ko muqarrar karna sharam ki baat hai. taham hamein mayoos nahi hona chahiye aur un jaisay waqeat ko manzar aam par lana hoga. un jaisay waqeat ki mazammat ki jani chahiye aur hamein jad-o-jehad ki zaroorat hai.