Monday, April 21, 2025
HomeSliderGHMC ne naaloun ki safai par 41.38 crore kharch kiya

GHMC ne naaloun ki safai par 41.38 crore kharch kiya

Hyderabad: Monsoon ki tayari ke ek hissay ke tor par GHMC ne 41.38 crore rupay ki laagat se jumla 701.97 kilometer lambai tak naaloun ko dhaknay ke kaam shuru kardiye aur 3.74 lakh M3 ( Cubic meter ) kachra saaf kiya. GHMC hukkaam ke mutabiq Monsoon ke aaghaz se pehlay har saal GHMC neh nashebi ilaaqoun mein selaab ki rokk thaam, Sadak ke kinare pani ke jamood aur GHMC ki hudood mein traffic ki pareshaniyoun ke sad-e-baab ke liye naaloun ki safai ke liye apni sargarmia taiz kardi hain.

Sirf Charminar zone mein, GHMC ne 1 lakh M3 se ziyada ki tadad ke kachray ko saaf kiya hai jis ki kal lambai 281.79 kilometer hai aur 11 crore kharch karne walay kamoun ki takmeel hai. Dosray ilaqoun mein Khairtabad mein GHMC ne 118. 48 kilometer lambai ki safai ke liye 9.88 crore rupiye kharch kiye. LB Nagar, Serilingampally, Kokatpally aur Secunderabad sameit 6 zones mein majmoi tor par 345 kaam anjaam diye gaye. Is ke ilawa GHMC ne Monsoon ki hungami sorat e haal se nimatnay ke liye 202 pump tainaat kiye hain. Monsoon ke liye GHMC ki DRF ( Disaster Response Force ) ki temen season ke douran hungami sorat e haal aur darakhtoun ke girnay ke mamlaat ka khayaal rakheen gi. GHMC ne 30 baday aabi guzargahoun ki nishandahi ki hai jahan 24 ghantay nigrani ki jayegi. Teams ko ruke huve pani ko saaf karne ke liye pump set ke sath rakha gaya hai.

Hyderabad Police ne 195 aabi zakhair ki nishandahi karne ke baad GHMC ne apne daira ikhtiyar mein ahem, Chhootay aur mamooli darjah bandi ki gayi 157 jaghoun ko saaf kardiya hai, Jabkay baqi deegar mehakmoun ke dairakar mein atay hain. GHMC ne JNTU se report haasil karne ke badas se kam honay walay iqdaam ke tor par 44 baday aabi points par, Injection Bore Well ki taamer bhi shuru kardi hai.–YTN STAFF