Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadGHMC ka Solar energy project sirf kaghzat tak mehdood

GHMC ka Solar energy project sirf kaghzat tak mehdood

Hyderabad: GHMC  ka solar project kamyaab hota dikhayi nahi day raha hai kyunkay GHMC ne koshish ki thi ke riwayati tawanai ke istemaal aur bhaari bhar kam bil ada karne ke bajaye shamsi tawanai ke Asri tareeqoun ko ikhtiyar Kiya jaye, jis se nah sirf baraqi ke tor par istemaal kiye jane walay eendhan ki bachat ho aur sath hi barqi bills par ada kiye jany walay lakhoon rupay ke masarif ko kam Kiya jaye.

Is maqsad ke tehat GHMC ne apni 43 imaartoun jo kay shehar hyderabad ke mukhtalif maqamat par moujood hain unki nishandahi karte hue yahan shamsi tawanai ke husool ke liye project energy and reserve institute ( TERI) ke hawalay Kiya hai taakay yeh idaara GHMC ki imaartoun ke liye shamsi tawanai ke husool ke liye mutalia karne ke baad nah sirf report paish kere balkay is ke alaat ko nasb karne ke ilawa shamsi tawanai ke project ki nighdasht bhi kar sakay.

Mazkoorah idaray ne ibtidayi mutalea ke baad mukhtalif maqamat par 941 ke WPI ( kilo watt pack ) ka project qatiat di thi aur is tarhan municipal corporation ki mukhtalif imaartoun par 15557 murabba meter par silver energy ke is project ko nasb kardainay ka faisla Kiya tha jis ke zariye 15.60 laakh unit salana tawanai peda ki ja sakti hai aur is project par taqreeban 4.6 crore rupay ke masarif bardasht kiye jany they.

Masarif ke zimn mein markazi hukoomat se 1.16 crore rupay subsidy ke tor par haasil kiye jane hain. un tamam tafseelaat ke alawa ek ahem nuqta yeh bhi hai ke is project ki aindah paanch barson ki nighdasht ki zimma daari bhi mazkoorah agency ko hi di gayi thi aur umeed ki ja rahi thi ke jo sarmaya is mein mashgool Kiya ja raha hai woh aindah chaar barson ke douran haasil kar liya ja sakta hai.

Sarmaya ki wapsi ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke is waqt GHMC ki mukhtalif imaartoun mein barqi ki bhaari bhar kam bil ada kar rahi hai jaissa ke sirf GHMC ke head office mein 130 AC units mojood hain aur iss daftar mein ostan rozana 5 ghantay kaam karte hain to is par 90 units jaltay hain aur yeh rozana 1350 unit barqi sirf karte aur fi unit 7 rupay ke hisaab se jo bill tayyar hota hai woh taqreeban 3.75 laakh rupay hota hai jis se andaza hota hai ke GHMC barqi bills par kitney akhrajaat bardasht kar rahi hai lehaza hukkaam ne koshish ki thi ke riwayati barqi ki bajaye shamsi tawanai ke ke project ko apnaya jaye lekin yeh project sirf kaghzat tak hi mehdood hai.

Mutaliqa hukkaam ne tafseelaat batatay hue kaha hai ke markazi hukoomat ki janib se subsidy ki raqam Manzoor ki jayegi ya nahi iska bhi koi faisla nahi hua hai aur yeh masla bhi is project ki rukawat hai. kayi ek aisi rukawaten mojood hain jis ki wajah se GHMC ka yeh Solar energy ka project kaghzat tak hi mehdood hai. –YTN STAFF