Tuesday, May 21, 2024
HomeHyderabadGHMC intikhabaat, Social Media par Election muhim ka qabza

GHMC intikhabaat, Social Media par Election muhim ka qabza

Hyderabad: Social Media par GHMC ki intikhabi muhim ne is waqt qabza karliya hai halaank asal intikhabaat hanooz 4 mah daur hain lekin Social Media par abhi se intikhabi muhim apna zor pakar chuki hai. BC ke raye dahindgaan ka survey zair-e-behas, Mukhtalif zumron ke liye Wardz mehfooz karna, Intikhabi aalamia jari karna, Shehar mein paye jane walay taraqiyati mansoobon se mutaliq kayi ek mozuaat is waqt Social Media par zair behas hain. Aam tor par intikhabi aalamia jari karne ke baad hi intikhabi muhim ka aaghaz kardiya jata hai. Is ke bar aks GHMC intikhabaat ke liye yeh muhim Social Media mein shuru hochuki hai.

Barsar-e-iqtidaar jamaat TRS ke mutadid rehnuma haqeeqat mein Vote mangay baghair hi Hyderabad aur is ke aas paas ke taraqiyati kaam post kar rahay hain. Social media posts ziyada tar taraqiyati mansoobon se mutaliq hain jo Bio Diversity moudd, LB Nagar ke aas paas mein anjaam diye gaye hain. Video Clipping mein Flyover aur under pass ki taamer jaisay mukhtalif mansoobay shaamil hain. Mazeed yeh ke be ghar ghareebon ke liye double bed room ke makanaat ki taamer, Durgam Chevuru par Cable pole ko bhi social media muhim mein shaamil kiya gaya hai.

Siyasi mubasireen ne un halaat par kaha hai ke aindah GHMC intikhabaat mein TRS ko faida pohanchanay ke liye usay intikhabi muhim bhi kaha ja sakta hai. TRS ko muhim ka faida dilwanay ke liye party karkun aur social media sarfeen taraqiyati kaam post kar rahay hain. Taham kuch Corporators field visit bhi kar rahay hain aur jari taraqiyati kamon ka muaina bhi kar rahay hain aur woh WhatsApp groups mein taraqiyati kamon ki Clipping post kar rahay hain.

Woh TV talk shows mein bhi hissa le rahay hain jo YouTube channels mein kuch khangi tanzeemon ke zareya shuru kiye gaye hain. Kuch dosray logon ne TRS ke working sadar KT Rama Rao se mutalba kiya hai ke woh yeh yakeeni banayen ke inhen GHMC intikhabaat mein dobarah party namzadgi mil jaye. Woh apne kamon ki bhi wazahat kar rahay hain aur apne mustaqbil ke mansoobon ko is ke sath jod rahay hain. Corporators ohdedaron par dabao daal rahay hain ke woh apne, apne daira ikhtiyar mein jald se jald taraqiyati kamon ko mukammal karen.