Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsGHMC intikhabaat par Dubbaka shikast ka asar

GHMC intikhabaat par Dubbaka shikast ka asar

Hyderabad: BJP ke hathon Dubbaka assembly zimni intikhab mein hukmaran TRS ki shikast ne aanay walay GHMC intikhabaat ko mazeed dilchasp banadiya hai.

Mojooda GHMC council ki meyaad 10 feb 2021 ko khatam hogi. TRS ne is se qabal Telangana mein oppostion ki kamzoree se faida uthane ke liye November-decemeber 2020 mein GHMC intikhabaat ko aagay badhaane ka mansoobah banaya tha. Taham October mein shadeed barish aur iske nateejay mein hyderabad aur riyasat ke deegar maqamat par selaab se logon ko shadeed pareshani ka saamna karna pada aur amlaak ko bhaari nuqsaan pohancha jis ke baad intikhabaat ke jald munaqqid karne ke faislay ko multawi kardiya.

Awaami mood ko dekh kar TRS hukoomat ne baad mein apne mansoobon ko tabdeel kardiya. ye badey pemanay par tawaqqa ki jarahi thi ke GHMC intikhabaat ka taaza tareen ineqad sankranti ( January 2021 ) ke sath kiya jayega taham, Dubbaka nataij ne TRS ke sarbarah aur cheif minister KCR, unke betay aur party ke working saddar ko January . feb mein GHMC intikhabaat ke ineqad ki khwahish par dobarah ghhor karne par majboor kiya hai.

Yeh nazriya intikhabaat mein kuch mahino ki takheer yani jab tak ke TRS ko raahat mehsoos nahi hoti, siyasi mazmrat ki wajah se yeh zor pakad raha hai. TRS qayadat ko ab yaqeen hai ke BJP Dubbaka mein apni fatah ke sath taaza dam hai aur agar aglay 2 mahino mein intikhabaat ka ineqad hota hai to is mein TRS ko bohat bada khatrah la-haq hosakta hai.

Mazeed ye ke TRS ko shoba hai ke BJP ek baar phir naraaz TRS rehnumao ko apni taraf mutwajjah karne ke liye phir se operation aakrash  ka sahara legi. TRS corporators ke alawa deegar leaders pehlu badal sakte hain.

TRS qayadat ko lagta hai ke Dubbaka ka nasha aglay 5 ya 6 mah mein khatam hojayega aur is ke baad intikhabaat ka ineqad karna munasib hoga. intikhabaat multawi honay ki soorat mein GHMC par qabza barqarar khaja sakta hai. riwayati tor par intikhabaat kabhi bhi schedule ke mutabiq nahi hue aur wo riwayat abhi bhi barqarar rehne ki umeed hai.