Thursday, May 16, 2024
HomeHyderabadGHMC intikhabaat ki tayario mein taizi aagai

GHMC intikhabaat ki tayario mein taizi aagai

Hyderabad: Greater hyderabad municipal coopration ( GHMC ) ke intikhabaat ki tayyariyan zor pakadney lagi hain. GHMC ke tehat 24 assembly halqoun ke liye taaza tareen voters list ki bunyaad par majmoi tor par 150 division waar raye dahindgaan ki fehristein tayyar ki jayengi aur musevida fehristein 7 November ko shaya ki jayengi. Reyasti election commission ( SEC ) ne GHMC hukkaam se kaha hai aur deegar amlon ki takmeel ke baad 13 November ko hatmi voter fehriston ki ashaat ke baad ward waar raye dahindgaan ki fehriston mein kisi bhi voter ki zaat ya mazhab ki tafseelaat shaamil na karen. Is baat ko yakheeni bananay ke liye ke ward waar voter liston mein kisi bhi tarhan ki Ilmi ya ashaat ki ghalatiyan nah hon, GHMC ke deputy commisner ko assembly halqa ki fehrist mein aur phir ward voter liston mein aisi ghaltion ko door karne ka mashwara diya gaya hai.

SEC ne municipal hukkaam ko hidaayat di hai ke woh ward ke aitebaar se voter liston ki hard aur soft copian tasleem shuda siyasi jamaaton ke sath sath ESI mein reserves nishaan par mukhtas kardah siyasi jamaaton ko bilaa muawza faraham karen aur un se rasidin wusool karen. un fehriston ki copian doosron ko asal qeemat par hard aur soft copian ki shakal mein fraham ki ja sakti hain.

Tajweez kiya gaya hai ke matlooba voter list ka andaza kapiyon ki chapayi ke mutabiq kiya jaye aur pehlay se is ka print karen. ward waar voter liston ko baghair photo ke GHMC aur SEC web portals par rakhna chahiye. SEC ne GHMC  intikhabaat ke ineqad se mutaliq mukhtalif umoor ki wazahat ki hai, jaisay ward waar raye dahindgaan ki fehristein muratab karna aur polling stationon ka qiyam. Darin-Isna , SEC ne ohdedaron ko mashwara diya hai ke kushadah kamray aur hall wali imaartoun mein polling station qaim karen. jahan tak mumkin ho, polling stationon ka intikhab halls aur kamroun ke tor par kiya jana chahiye jahan raye dahindgaan daakhil ho saktay hain aur ek darwazay se bahar nikal sakte hain. har ek hazaar afraad ke liye ek polling station mukhtas kiya jana chahiye.

Ohdedaron ko bataya gaya hai ke woh sarkari zair-e-intizam idaron ki imaarton mein polling station qaim karen. Agar sarkari imaarten dastyab nahi hain to deegar imaarton mein qaim kiye jane chahiye. kisi bhi haalat mein khangi ya corporate imaarton mein polling station qaim na karen. SEC ne kaha ke thanon, dawa khano  ya mazhabi ahmiyat walay maqamat ka intikhab na karen. Draft voter liston ki tayari 7 November se shuru hogi aur aakhri fehrist 13 November ko shaya ki jayegi. Ahal-e-voters ko assembly fehriston mein apne naamon ki tasdeeq karni hogi. agar unke paas card nahi hain to inhen indraaj form NVSP ke zareya ya darkhwast form assembly voter registration officer mein form mein jama karwana hoga.

Un ki jaanch padtaal ke baad ahal voters ke naam sab se pehlay assembly liston mein shaamil kiye jatay hain aur isike mutabiq mutaliqa ward voter liston mein shaamil ho jatay hain. SEC GHMC intikhabaat ke aalamia ke ajra ki tareekh tak yeh mumkin hai. darkhwast form registration portal ke zariye assembly voter registration officer ke paas ya portal ke zareya muqarara form 6 jama karwana chahiye. unki jaanch partaal ke baad ahal voters ke naam sab se pehlay assembly ki fehriston mein shaamil kiye jatay hain aur isi ke mutabiq mutaliqa ward voter liston mein shaamil ho jatay hain.