Monday, April 29, 2024
HomeHyderabadGHMC intikhabaat ki muhim urooj par, BJP aur TRS ki lafzi jung

GHMC intikhabaat ki muhim urooj par, BJP aur TRS ki lafzi jung

Hyderabad: Is waqt Hyderabad intikhabaat ke bukhaar mein hai kyunkay 1st december ko honay walay GHMC intikhabaat ki muhim urooj par pahonch chuki hain aur ahem jamaten is mein kamyabi ke liye koi kasar nahi chodh rahi hain.

Intikhabaat ke elaan ke sath hi hukmaran jamaat TRS aur BJP mein lafzi jung shuru hogayi hai. Mukhtalif masail par dono jamaten ek dosray par ilzamaat lagarahi hain. Wazeer baldi nazam wo nasq wo hukmaran jamaat TRS ke liye muhim chalanay wali ahem shakhsiyat KTR ne raye dahindon se appeal ki hai ke woh TRS ke intikhabi nishaan karko vote den aur tafarruqa angazi karne wali taqaton par taraqqi ka intikhab karen.

Unhon ne is silsila mein aaj kiye gaye tweet mein kaha hum jo kehte hain woh karte hain aur ham wohi karte hain jo kehte hain. hum zimmedaar waday karte hain. tamam ko yeh dekhna hoga aur tajurbah par yaqeen karna hoga.

Hyderabad ke shehri honay par fakhr mehsoos karen. 1st December ko honay walay intikhabaat ke silsila mein car ko vote den aur tafarruqa paida karnay wali taqaton par taraqqi ka intikhab karen. Doosri ahem jamaten jo un intikhabaat mein hissa lerahi hain un mein congress aur majlis bhi shaamil hai jinhon ne intikhabi muhim mein shiddat paida kardi hai. Jana sena party ne pehlay hi elaan kardiya hai ke woh intikhabaat mein hissa nahi legi aur BJP ki himayat karegi.

Chief minister KCR, GHMC intikhabaat se pehlay 28 november ko lal bahadur stadium mein jalsa aam se khitaab karenge. GHMC ke 150 wards ke liye 2600 se zayed umeed waar muqaabla kar rahay hain. BJP ne 571, TRS ne 557, congress ne 372, TDP ne 206, Majlis ne 78, CPIM ne 22, CPI ne 21 aur deegar registered partiyon ne 115 parcha namzadgyan daakhil ki hain. Election Commission ke zaraye ke mutabiq 650 aazad umeedwaron ne parcha namzdgyan daakhil ki hain. 1st decemeber ko honay wali raye dahi ke silsila mein munasib security intizamaa kiye jarahay hain.