Friday, April 26, 2024
HomeHyderabadGHMC intikhabaat, 20,024 box mein 1,122 umeedwaron ki qismat band

GHMC intikhabaat, 20,024 box mein 1,122 umeedwaron ki qismat band

Hyderabad: Faisla ka din agaya aur shehar Hyderabad mein har jagah ghuma ghumi shuru hochuki hai. Greater hyderabad municipal corporation ( GHMC ) intikhabaat ke liye siyasi jamaaton ki janib se garma garam muhim ke baad aaj 74. 67 laakh raye dahindgaan 150 dinoun ke intikhabaat mein hissa lainay walay siyasi leadron ki qismat ka faisla karne ke liye tayyar hain jab reyasti election commission ( SEC ) ne intikhabaat karwanay ka amal shuru kardiya hai.

Bohat taweel arsay ke baad intikhabaat EVM ke bajaye ballot boxes ka istemaal karte hue honay jarahay hain. Ballot papers ka istemaal aur iske sath honay walay fawaid aur nuqsanaat sab par ayaan hain lekin kayi afraad unse la-ilm hain. voton ka istemaal aur ginti lambi, bojhal aur takleef da hogi aur nataij aam tor par ghayr-maa’mooli tor par takheer ka shikaar hojatay hain iske bar-aks jab EVM sirf chand ghanton mein raye dahi ke baad kam waqt mein elaan bhi karti hain lekin reyasti election commission ( SEC ) ne un intikhabaat ke liye ballot papers aur box ka istemaal karne ka faisla kiya hai chunkay jo jamaten intikhabaat mein shikast khajati hain unki shikayat hoti hai ke hukmaran party ke zareya EVM machinon ke sath unke mafadaat ke mutabiq chedh chadh ki gayi hai.

Neez takneeki kharabion ka masla hai jo nataij ke elaan mein bhi takheer karta hai. Covid-19 wabai marz ke paish nazar EC ne ballot papers se intikhabaat karne ka faisla kiya taakay votoron ko machinon par button dabakar infection ka khatrah naa ho. BJP ko chodh kar sab hi siyasi jamaaton ne papers ke zareya GHMC intikhabaat karwanay ki himayat ki hai.

Is baar 20,024 ballot box istemaal ho rahay hain. aakhri martaba 2002 mein GHMC intikhabaat mein ballot papers ka istemaal kiya gaya tha. EVM ne 2009 aur 2016 ke baad ke intikhabaat mein ballot box ki jagah leli. aaj ke intikhabaat ke liye 1,122 umeed waar maidan mein hain, is maqsad ke liye 81,88,686 ballot papers chapaye gaye hain aur 20,024 ballot box ko 9101 polling stationon mein muntaqil kardiya gaya hai. intikhab 150 vardon mein phela hua hai. ballot papers mein NOTA ka ikhtiyar un logon ke liye hoga jinhon ne faisla kiya ke koi bhi siyasi leader intikhabaat ke qabil nahi hai. TRS tamam division mein hissa le rahi hai, jabkay BJP 149 divisons mein apni qismat aazmarahi hai, iske baad congress ( 146 ), TDP ( 106 ) aur AIMIM ( 51 ) hain.