Sunday, May 19, 2024
HomeSliderGharelu tashadud ka shikar khawateen ke haq mein anokha ehtijaj, jootoun ki...

Gharelu tashadud ka shikar khawateen ke haq mein anokha ehtijaj, jootoun ki deewar tayyar

Istanbul : Duniya bhar mein khabrein aam hain ke mardoun ki aksariyat khawateen par tashadud karti hai, un tashadud ke baais mutadid khawateen zindagi ki baazi haar jati hain, taham ek khabar Turkey se aayi hai jahan mulk mein gharelo tashadud ke baais zindagi se haath dhoney wali khawateen ki yaad mein building ki deewar par munfarid nazarah pesh kiya gaya jis ne har guzarne  walay ki tavajja apni janib mabzol karwali.

Tafseelaat ke mutabiq yeh imarat turkey ke badey shehar Istanbul mein waqay hai, jis mein jootoun ki deewar banai gayi, deewar par jootoun ke 440 jodey un 440 khawateen ki yaad mein rakhay gaye jo 2018 may gharelo tashadud ke baais chal basi theen. yeh display turk fankar ki janib se kiya gaya jinhon ne kaha ke display ka maqsad sadak par se guzarne  walay log ruk kar deewar ko dekhen aur khawateen par hone  walay tashadud ke baare mein sochen.

Yaad rahay ke Asia aur Europe ke sangam par mojuood mulk turkey mein taqreeban 38 feesad khawateen gharelo tashadud ka shikaar hain aur un mein 15 se lekar 59 saal tak ki har Umar ki aurat shaamil hai. sirf ek saal ke douran 2018 mein 440 khawateen gharelo tashadud se halaak huien aur rawan baras yeh tadaad badh gayi. 2019 ke sirf pehlay 6 mah mein gharelo tashadud se marne  wali khawateen ki tadaad 214 rahi.

Rawan baras ke aaghaz mein is waqt pooray mulk mein ek toofan uth khada hua jab khatoon ke sabiq shohar ne beti ke samne  inhen qatal kardiya tha, is waqt hazaron khawateen sadkon par nikal ayen aur mulk mein gharelo tashadud ki rokk thaam ke liye muzahirey kiye.

38 sala khatoon ke marne  se qabal aakhri alfaaz they, mein marna nahi chahti. turk fankar ko umeed hai ke unka yeh amal un aagahi ki koshisho ka ek faida mand hissa saabit hoga jo mulk bhar mein khawateen par tashadud ke khilaaf ki jarahi hain. –YTN STAFF