Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsGharelo tashadud se tang, Difaa mein baap ko qatal karne wali beteoun...

Gharelo tashadud se tang, Difaa mein baap ko qatal karne wali beteoun ko saza ka khadsha

Moscow: Tafteesh karoun ne kaha ke 2 behnoon jinhoun ne kayi saloon se zayad-ti ke baad apne waalid ko qatal kiya hai unhein qatal ke ilzamaat ka saamna karna chahiye. Ye ek muamlay hai jis ne gharelo tashadud se mutaliq Roos ke shadeed record ko ujagar kiya hai. 3 Roosi behnoon Krestina, Angelina aur Maria Khachaturyan ne July 2018 mein kayi saal ki maar aur jinsi zayad-ti ka saamna karne ke baad apne waalid Mikhail ko chaako ke waar se mout ki neend suladi thi. Is waqea ke waqt un ki omar 17,18 aur 19 saal thi.

Un ke waqea ne muzahiroun ko janam diya hai aur mutalba kiya gaya hai ke wo un mutasirah khawateen ko jail bhejne ke bajaye un ki nafsiati madad ki jani chahiye. Roos mein gharelo tashadud ke khilaaf koi khaas qanoon mojood nahi hai aur kaarkunoun ne taweel arsay se hakkaam par ilzaam lagaya hai ke wo zayad-ti ke waqeat se chasham poshi kar rahi hai. Roos ki tehqiqati Committee ne ek bayan mein kaha hai ke is qatal ki tehqiqaat mukammal karli hain aur wo 21 aur 19 sala dono badi behnoon, Krestina aur Angelina ke khilaaf qabal az waqt qatal ke ilzamaat ki sifarish kar rahi hai.

3 Russian girl murder her Father for Domestic voilence

Tehqiqaat se saabit huwa ke behnoon ne apne walid par  chaako se waar kiya aur hathoday se petta jis se wo shakhs zakhmi hogaya. Kaha gaya hai ke 2 badi behnain hamlay ke waqt zehni tor par sahet mand theen aur apne iqdamaat se bakhoobi waaqif theen aur jurm saabit hone par inhen 20 saal tak qaid ki saza hosakti hai. Tafteesh karoun ne sifarish ki ke sab se choti behan Marria ko laazmi tor par nafsiati nighdasht ke markaz mein daakhil hona chahiye. Wukla aur kaarkunoun ne kaha hai ke no umar afraad ko apni jaanen bachane ke liye ye iqdaam karne par mjbor kiya gaya aur badsulooki ka nishana ban’ne walay mutasireen ko naaqis qanooni tahaffuz faraham karne ki nishandahi ki.

Angelina ki wakeel ne kaha hai ke is muqadmay ki samaat mein nahi jana chahiye kyun kay behnoon ne apne difaa mein maqool taaqat ka istemaal kiya. Krestina ke wakeel ne kaha ke behnoon ko apne difaa mein muhim chalane ke bawajood unhein saza sunane ka imkaan hai. Unhoun ne khabar rasan idaray se kaha ke hum jantay hain ke agar tafteeshkar kuch faisla karte hain to ye mehez waqt ki baat hai. Unhoun ne kaha ke dono behnain Jury ke muqadmay ki samaat ka mutalba kar rahi hain, Unhon ne mazeed kaha Jury ke zareya hone wala muqadma na sirf saza ko kam karsaktha hai balkay is se behnain bari bhi hosakti hain.

Ab ye tenun bahene allag gharoun mein rehti hain aur ek dosray se baat cheet karne se bhi inhen mana kiya gaya hai. Roos ne 2017 mein gharelo tashadud ki noiyat ke muamlay ke siwa tamam maamloun ko ghair qanooni qaraar diya hai. Police aam tor par gharelo maamloun mein mudakhlat nahi karti hai, Yahan tak ke maamla shadeed noiyat ka nah ho. Khawateen ki haqooq ki karkun Rivina ne kaha ke tafteesh karoun ka elaan hakkaam se gharelo tashadud se nimatne mein adam dilchaspi ka saboot hai. Unhoun ne mazeed kaha ke riyasat apne mukhtalif idaroun ki shakal mein ab bhi is maslay ko tasleem nahi karti hai aur wo apne shehrioun ki zindagioun aur sahet ke tahaffuz ke liye tayyar nahi hai.

Rivina ne kaha tehqiqati committee un logoun ke khilaaf qanoon ki paasdari karti hai jinhoun ne apne aap ko ek bhayanak sorat-e-haal mein paaya hai aur inhen apni zindagi ke liye ladna pada hai. Roosi qanoon sazoon ke ek group ne guzashta haftay gharelo tashadud se mutaliq ek naye Bill ko muta-arif kiya hai. Intahi qadamat pasand garohoon ne is bil ke khilaaf muhim chillate hue kaha hai ke is se khandan tabah ho jaienge aur taaqatwar Roosi Orthodox church ne bhi is ki mukhalfat ki hai. –YTN STAFF