Sunday, May 19, 2024
HomeSliderGharelo tashadud ke waqeat Turkey moahida se dastbardar

Gharelo tashadud ke waqeat Turkey moahida se dastbardar

Istanbul: Turkey mein gharelo tashadud ke badhtay waqeat ke bawajood hukoomat ne is par mabni muahiday se dasbardary ki dhamki di thi, Jis par ek ahem ijlaas hona tha, Taham Turkey ne ijlaas multawi kardiya. Wazeh rahay ke Turkey wo pehla mulk tha jo is muahiday ke qanooni dhanchay ko bananay mein pesh pesh tha. Media ke mutabiq hukmaran jamaat Justice and Development Party ne charshumbe ko honay walay ek ahem ijlaas mein is muahiday se dast bardari ka elaan karna tha, Taham ye ijlaas 13 August tak multawi kardiya gaya.

Is ijlaas ke multawi honay ki wajah khawateen ke groups ke ehtajaji muzahirey hain jo wo apne huqooq ke khilaaf honay walay iqdaam ke pesh-e-nazar kar rahi hain. Hukoomat ke himayati halqay is muahiday se dast bardari ke haq mein hain. Taham, Herat angaiz tor par Turkey ke sadar Recep Tayyip Erdogan ki beti Sumeyye Erdogan, Jo NGO ki naib sarbarah hain, Ne is muahiday ki mukammal himayat ki hai. Is muahiday ke naqideen ne kaha hai ke is se khawateen ko maali, Moaasherti aur muashi tor par baikhtiar ban’nay mein madad milegi jis se un ke khandano ki maali aur ikhlaqi salmiyat ko khatrah hai.

Haliya adaad-o-shumaar ke mutabiq is saal ke shuru ke saat mahino mein hi ab tak ek 155 Turk khawateen ka qatal ho chuka hai. Sirf July hi mein 32 khawateen ka qatal huwa, Jabkay Eid Ul-Adha par 2 aisay waqeat pesh aeye. Guzashta saal 470 se zayed khawateen ka qatal kiya gaya tha. Khawateen ke haqooq ke liye kaam karne walay halqon neh kaha hai ke un ka chidya ki terhan shikaar kiya gaya tha.

Khawateen par tashadud ke badhtay waqeat ke bawajood wazeer Zumrut Selcuk is muamlay mein khamosh rahen. Khawateen ke liye kaam karne walay halqon ney kaha hai ke kayi mulzim ab tak azad hain aur inhen theek saza bhi nahi di gayi, Kyunkay mard adalat ki samaat ke douran suit pehan kar jatay hain.