Berlin : Dhoka dahi ki koshish mein kuch log aisi ehmaqana harkat karte hain jis ka tasawwur bhi nahi kiya jasakta hai aur ab ek aisa hi waqiya Germany mein peish aaya jahan ek noujawan ladki ne ghar mein khud hi currency note print kiye aur phir unke zareya gaadi khareedne ke liye showroom pohanch gayi lekin dhoka dainay ki koshish is khatoon ko mehngi padh gayi.
Germany ke shehar Kaiserslautern mein ek noujawan khatoon car khareedne ki khwahish liye ek show room pohanchi lekin kuch hi der baad usay police ki gaadi mein baithna padha. yeh khatoon jaali currency noton ke zariye gaadi khareedne ki koshish kar rahi thi, car Dealer ne fori tor par police ko ittila day di aur khatoon ko giraftar kar liya gaya. jaal saazi karne wali khatoon ki Umar 20 baras batayi gayi hai. jaali currency noton ki nishandahi karna show room ke dealer aur police ke tafteesh karon ke liye bhi kuch ziyada mushkil saabit nah hua kyun ke is khatoon ne apne ghar hi mein ek aam rangeen printrr ki madad se saada kaghaz par 50 aur 100 euro maliyat ke currency note print kiye they.
Police ko is 20 sala khatoon ke ghar ki talashi ke douran printer bhi mil gaya aur khatoon ki 13000 euro maliyat ki mazeed currency bhi, jo isi prntr se print ki gayi thi woh bar-aamad hui. juraim ki tehqiqaat karne wali wifaqi police ( BKA) ke mutabiq currency ki naqal tayyar kar ke market mein laane ki kam az kam saza ek baras qaid hai. abhi tak daftar istighasa ne is noujawan khatoon ke khilaaf ilzamaat aed kar ke muqadmay ki karwai shuru nahi ki.
Germany ki wifaqi police ke mutabiq aam tor par intehai pesha war ja-al saaz jaali currency note bananay ke liye khusoosi alaat istemaal karte hain taham internet par aisi machinery bhi ba aasani mil jati hai jinhein istemaal mein laatay hue aam log bhi jaali note bana letay hain. sab se ziyada 50 euro ke currency note ki nuqool tayyar ki jati hain. BKA ne apni ek taaza report mein kaha hai ke 2018 mein jaali currency notoun ke hawalay se 54 hazaar se zayed muqadmaat darj kiye gaye. guzashta baras ke douran majmoi tor par german market se ek laakh jaali currency note zabt kiye gaye jin ki maliyat 17 million euro ke barabar hai. –YTN STAFF