Friday, May 17, 2024
HomeOthersHealthGhair Sahet Bakhash Ghiza Se Marnay Waloun Ki Tadaad Mein Izafah

Ghair Sahet Bakhash Ghiza Se Marnay Waloun Ki Tadaad Mein Izafah

London : Ek taaza tareen report ke mutabiq duniya bhar mein ghair sahet mand ghiza ke istemaal se sab se ziyada halakatein wasti asiayi mulk Uzbekistan mein hoti hain aur sab se kam Israel mein hoti hain. tafseelaat ke mutabiq lag bhag ek  crore das laakh amwaat ki wajah ghair sahet mand ghiza hai. misaal ke tor par zaroorat se ziyada shakar aur namak ka istemaal qabal az waqt amwaat ki ahem tareen wujohaat mein shaamil hain. khusosan shelf mein rakha woh gosht jisay uski meyaad badhaane ke liye masnoi ajza lagaye jatay hain. jaissa ke namak, khimeer aur keemiyai dhuwan waghera. aisa karne se gosht ki meyaad to badh jati hai lekin yeh amraaz qalb, cancer aur deegar jaan lewa amraaz ka baais bantaa hai .

Report ke mutabiq 2017 mein ghareeb aur taraqqi Pazeer mumalik mein cheeni aur namak ke ziyada istemaal wali khoraak khanay se 11 million afraad halaak hue they. aisi ghair sahet mand ghiza se diabities, awarz-e-qalb aur cancer ki bimarion ko afzaish haasil hui hai. ghair sahet mand ghiza khanay se honay wali halakaton ke mumalik mein America 43th , Chine 140th , Hindustan 118th   aur Britain 23rd  maqam perfayz hai. yeh tahaqeeq 195 mumalik mein mukammal ki gayi hai aur uski tafseelaat Lenst Medical Journal mein shaya ki gayi hain. is mein mazeed yeh inkishaaf kiya gaya, sahet mand ghiza yani sabzian, phal, khushk mewa jaat, beej wali ghizain , doodh aur anaaj khanay ka rujhan kam hai. jabkay shukar miley mashrobat, namak aur ghair sahet bakhash gosht ka istemaal ziyada hai. yahi wajah hai ke har paanch mein se ek  aadmi naaqis ghiza ke istemaal ke baais mout ke mooo mein chala jata hai .

Report ke mutabiq ek  aam sahet mand shakhs ko din mein 21 gram khushk mewa jaat, beej wali ghizain khaani chahiye jabkay adaad wo shumaar yeh zahir karte hain ke batayi gayi miqdaar mein se aam tor par sirf 3 gram istemaal ki jarahi hai jabkay shakar miley mashrobat das gina ziyada istemaal kiye jarahay hain. charbi badhaane wali ghizain , namak aur cheeni ka be tarteeb istemaal faalij, diabities aur mukhtalif aqsam ke cancer ki wajah banti hai .

Tahaqeeq ke adaad wo shumaar ke bamajub 11 million mein se 10 million amwaat amraaz qalb ki wajah se huien jabkay 91,300 surtan ki wajah se zindagi ki baazi haar gaye. teen laakh untaalees hazaar afraad ki mout ki wajah diabities thi .-YTN STAFF