( GHMC ) Greater Hyderabad Municipal Corporation nay jumaraat ke roz ghair qanooni ishtiharaat laganay par Secunderabad ki mashhoor hotel Paradise par 3 lakh ka jurmana ayed kiya hai.
GHMC ke Enforcement And Disaster Management ( EVDM) Wing nay zameeni satah se 15 feet oonchai par ghair majaz ishtihari banner laganay ke jurm mein mein bhaari jurmana ayed kiya hai.
Jumaraat ke roz shikayat kanandah Umesh Kumar nay EVDM team ko Twit kiya ke “Kiya aisay ishtiharaat lagana ghair qanooni hai ya nahi” Do ghanton ke andar hi andar EVDM nay shikayat darj karwai aur Paradise Secunderabad ke khilaaf Echallan ke zariye jurmana ayed kiya gaya.
E-challan mein EVDM nay bataya ke khilaaf warzi karne walon nay hukkaam ki ijazat ke baghair ghair qanooni ishtiharaat lagaye hain, Director Erection of advertisements aur Displayed painted advertisements ke mutabiq, Eshteharon main chamakti huvi lights ka istemal, Emarat ka samne wale hisse ke 15% se zayada eshteharat ya name board lagana ghair qanoni hai, Jo GHMC Act ke section 420٫, 421 ke tehat ayed jurm hai.
Sarfeen haqooq ke karkun Mister Srikhande Umesh Kumar ney ek News Agency ko bataya” GHMC ke hudood mein bohat saaray ghair qanooni ishtiharaat hai, Umeed hai ke woh bhaari jurmane ayed karaingay, Jis se dosray loog Holdings / ishtihari Board / Flex Banner laganay se guraiz karen ge, Aur logon ko chahiye ke woh agay ayen aur EVDM ke paas shikayat darj karwaen. EVDM department ney meri shikayat ka fori jawab diya aur Paradise Secunderabad ke khilaaf 3 lakh rupay ka jurmana ayed kiya.