Riyadh : Ahem tareen islami mulk Saudi arab ney guzishta mah September ke aakhir mein pehli martaba aam sayahat ka elaan karte hue berooni khawateen ko abaya pahannay se bhi mastasni qarar diya tha. aur ab Saudi arab ney berooni sayaho ki tavajja haasil karne ki gharz se inhen mazeed aasaniyan dene ka elaan kardiya hai jiske tehat ab na-mehram mard aur khawateen ek hi kamray mein reh sakte hain.
Saudi arab ki hukoomat ney saiyahat ki gharz se aaney walay berooni sayaho mein na-mehram mard wo khawateen ko hotel mein ek hi kamrah lene ki ijazat dedi. naye qanoon ke tehat ab koi bhi ghair mulki mard ya khatoon karaye par hotel lainay ke baad apne sath kisi bhi ghair mulki mukhalif jins ke shakhs ko rakh sakta hai.
Tafseelaat ke mutabiq Saudi hukoomat ney sayaho ki tavajja haasil karne ke liye kisi bhi ghair mulki khatoon ko karaye par hotel haasil karne aur apne sath na-mehram shakhs ko sath rakhnay ki ijazat dedi. naye qanoon ke tehat ab koi ghair mulki mard sayah kamrah haasil karne ke baad apne sath kisi bhi namhrm khatoon ko rakh sakega aur usay is baat ki dastawizaat bhi faraham nahi karne padinge ke khatoon ka unke sath kiya taaluq hai.
Report mein arabi akhbar ka hawala dete hue kaha gaya ke Saudi arab ki commission far tourism and National heritage ney is baat ki tasdeeq ki ke ab kisi bhi ghair mulki mard ya khatoon ko kamray mein kisi na-mehram ko sath rakhnay par koi dastawizaat paish nahi karni padingi. sath hi commission ney wazeh kiya ke naye qawaneen ke tehat Saudi arab ki khawateen ko bhi hotel mein kamrah haasil karne ka ikhtiyar diya gaya hai, taham usay kamrah haasil karte waqt apni shanakht zahir karni padegi.
Is se qabal Saudi arab ki muqami khawateen ko is waqt hi hotel ka kamrah diya jata tha jab inhen ghar ke kisi mard ki janib se tehreeri ijazat di jati thi. naye qanoon ke tehat jahan muqami khawateen hotel ka kamrah le sakengi, wahein ghair mulki khawateen bhi koi shanakht karaye baghair hotel ka kamrah lene ke baad wahan kisi na-mehram ko sath rakh sakengi.
Saudi hukoomat ney jahan sayaho ke liye aasaniyan paeda ki hain, wahein hukoomat ney guzashta mah 28 September se ibtedayi marhalay mein duniya ke 49 mumulk ko online visa jari karne ki sahoolat bhi muta-arif karwai thi.
Online visa ki sahoolat haasil karne walay mumulk mein Pakistan , turkey, Indonesia aur misr sameit darjanon musalman mumulk shaamil nahi jab ke Hindustan ke afraad bhi online visa ki sahoolat faraham nahi kar sakenge. Saudi hukoomat ki janib se sayahat ke liye ghair mulkion ko ijazat dene se qabal wahan sirf musalman mumalik ke log Hajj wo Umrah ke liye jasakte they ya phir woh afraad Saudi arab ka safar kar saktay they jin ke rishtedaar wahan muqeem hon.
Saudi hukoomat ki janib sayahat ke liye uthaye gaye haliya iqdamaat se wahan salana 10 crore sayaho ki aamad ka imkaan hai aur is mansoobay se wahan 10 laakh nai mulaazmaten paeda hongi. sayahat ke liye darwazay kholnay se Saudi arab ko anay walay chand saal mein kam se kam 5 laakh kamroun par mushtamil pur tesh hotloun ki zaroorat padegi aur khayaal kiya jaraha hai ke sayahat ke aaghaz ke baad mukhtalif hissoun mein tamirati mansoobay shuru kiye jayenge.
Riyadh hukoomat ney haliya chand saal mein nah sirf wahan khawateen sayaho ke liye narmiyan muta-arif karwai hain balkay pehli martaba khawateen ko driving karne, inhen ghair Mehram ke sath nokari karne, modelling wo adakari karne aur fashion weeks mein shirkat ki ijazat bhi di hai. Ab Saudi arab mein khawateen ghair Mehram mard ke sath noukari bhi karti hain aur khawateen adakari ke shobay mein bhi samnay aayi hain. –YTN STAFF