Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadGhair mansoobah band lockdown se muslim khandano ziyada mutasir

Ghair mansoobah band lockdown se muslim khandano ziyada mutasir

Hyderabad: Center For peace studies ne Hyderabad, Jaipur, bhopal aur Delhi mein Muslim Muhalla mein 500 se zayed khandanoun ka surway kiya taakay April se May 2020 ke douran lockdown ke douran honay walay waqeat aur masail ko dastaweez ki shakal di jasakay. Surway ke mutabiq mein yeh paaya gaya ke mansoobah bandi ki kami ne kayi muslim khandano ko masaaib aur masail ki Nazar kardiya hai aur tayari ke baghair lock down aam logon aur khaas kar ghareeb Muhalla walon ke liye badi mushkilaat ka baais bana. Mahino lock down ki wajah se inhen bhook aur deegar sehat aur maali bohraan ka saamna karna pada. surway mein hissa lainay walay beshtar jawab dahindgaan ne ahal-e-khanah ke naam Rashan card se kharij karne ki shikayat bhi ki hai jis ki wajah se woh lock down ke douran rashan haasil nahi kar sakay thay.

Bio metric towseeq mein masail ki wajah se bohat se logon ko rashan fraham karne se inkaar kiya gaya. Card holdron ko samaan lainay ke liye rashan shaps par bio metric device per anghutha laga kar khud ko mustand karna tha. Bohat se jawab dahindgaan ne kaha ke naye rashan card ke liye unki darkhwast zair-e-iltiwa hai kyunkay hukoomat ne usay rokkk rakha hai. yeh bhi pata chala ke mustafeed afraad ko rashan card jari karne mein yaksaniyat nahi thi. taqreeban 30 feesad jawab dahindgaan ne kaha ke inhen lock down ke douran koi rashan masool nahi hua. surway ke mutabiq mustafeed honay walon mein se ziyada tar afraad ko sirf chawal mil rahay thay, rashan ki dukanoun par deegar zaroori ashya fraham nahi ki gayeen.

Jawab dahindgaan ne shikayat ki ke unke rashan card mukhtalif bunyadon par hazf kardiye gaye jaisay 3 taa 5 mah tak rashan nah lena. Rashan card mansookh karne se pehlay card walay afraad ko koi paishgi notice nahi diya gaya. Qanoon haq maloomat ke tehat haasil kardah tafseelaat ke mutabiq 2013 ke baad se ab tak mulk bhar mein jumla 4.39 crore mubayyana bogus rashan cards ko khatam kardiya gaya tha. Jiski wajah se lock down ke douran haqeeqi afraad ko takleef ka saamna karna pada. Log social security pension ke baray mein aagah nahi thay. Hukoomat-e-hind ne logon ki madad karne ke liye mutadid iqdamaat ka elaan kiya jaisay PDS shops par rashan ki muft taqseem, jaan dhan account rakhnay walon ke liye 500 rupay waghera lekin un khandano ko un se koi faida nahi ho saka. is surway mein covid 19 ke douran muslim ilaqon mein PDS (awaami taqseem ka nizaam) aur social security pension ke nifaz par tawajah nahi di gayi.

Hyderabad mein center baraay peace studies ke coordinator SQ Maqsood ne kaha muslim Muhalla mein log qaumi parliment ke zareya 2013 mein manzoor kiye gaye qaumi food security act (NFSA) ki khilaaf warzi hue jis ki wajah se ghareeb khanha se mahroom. Is qanoon ka maqsad khanay ki hifazat ko yakeeni banana hai. Hindustan bunyadi tor par targeted public distribution system (TPDS) ke zareya reayati qeematon par anaaj fraham karne wala mulk hai. Is act ka bunyadi maqsad yeh hai ke logon ko sasti qeematon par achi miqdar mein khoraak ko qabil rasai aur aur ghizaiyat se tahaffuz fraham karna hai lekin ghair mansoobah band tareeqa se nafiz kardah lock down ki wajah se awam ko bunyadi sahooliyat se bhi mehroom hona padha hai.