Friday, May 17, 2024
HomeSliderGermany mein Musalmanoun ki salamti aur tahaffuz ko behtar karne ka faisla

Germany mein Musalmanoun ki salamti aur tahaffuz ko behtar karne ka faisla

Berlin: German shehar Hanau mein balaishteaal firing kar ke 9 afraad ko halaak karne ke waqeye ke baad hukoomat ne Germany bhar mein Musalmanoun ki salamti aur tahaffuz ko behtar karne ka faisla kiya hai.

Ek Press Conference mein German wazeer e dakhla Horst Seehofer ne kaha ke hamlay ke waqeye mein nasli taasub se na pehlotahi ki ja sakti hai aur nah hi hamlay ke is pas manzar ko nazar andaz kiya ja sakta hai. Hamla zahir hai ke Germany dakhli tor par shadeed khatray se dochar hai aur ye German jamhoriat ke liye bhi khatarnaak hai.

Tashadud ke taaza waqeye ke baad Musalman, Yahodi aur beron mulk dosray loog adam tahaffuz ka shikaar ho kar re gaye hain aur inhen dar lagne laga hai ke shayad wo bhi kisi hamlay ki zad mein hain. Is khauf ke idraak ke sath wazeer e dakhla ne anay walay dinoun mein ahem taqrebaat aur tehwaroun ke talluq se Security ohdedaroun aur idaroun ko salamti ki bhaari zimma daari ka ehsas bhi dilaya aur sobai wazraye dakhla ke sath munazzam security mansoobah bandi par zor diya.

Unhoun ne ye bhi kaha hai ke hassas maqamat aur edaroun ki security badha di gayi hai aur jagah jagah izafi nafri ki taenati, Railway Stations par Police ki gasht mein izafay ke bhi iqdamaat kiye ja rahay hain. Unhoun ne kaha ke halaat aur waqeat ka taqaza hai ke pooray mulk ko baday pemanay par munasib tahaffuz faraham kiya jaye.

Online Media ke mutabiq Hanua mein hamlay karne wala 24 safhaat par mushtamil ek be tarteeb aur ukta dainay wali tehreer chud gaya tha jis mein darj tha ke kam darjay ki tamam insani nasloun ka safaya kar dena waqt ki zaroorat ban chuka hai. –YTN STAFF