Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderGermany mein musalmanoun aur sayasat dano par hamla ka mansoobah, Mutadid afrad...

Germany mein musalmanoun aur sayasat dano par hamla ka mansoobah, Mutadid afrad giraftar

Berlin: German Police ne musalmanoun, Siyasatdanoun aur panah ke khawahish mand afraad par hamla ka mansobah bandi karne walay intahi dayen bazo ke giroh ke khilaaf mulk bhar mein jari tafteesh ke nateejay mein apne ohdedaroun sameit 12 afraad ko giraftar karliya. Tafseelaat ki report mein wizarat dakhela ke zaraye ke hawalay se kaha gaya ke ye giraftaryan Germany ki 6 reyastoun mein 13 maqamat par musallah Special units ki janib se chapoun ke nateejay mein amal mein ayen.

Federal prosecutors ke jari kardah bayan ke mutabiq giraftar shuda afraad mein 4 markazi mulzimaan ab tak ghair wazeh tor par siyastdanoun, Panah ke tallab-gaar aur musalman community se talluq rakhne walay afraad par hamlay kar ke khanah jungi jaisi sorat e haal peda karna chahtay they. Bayan ke mutabiq deegar 8 mulzimaan par ilzaam hai ke unhoun ne giroh ki maali muawnat karne, Hathyaar faraham karne aur mustaqbil mein hone walay hamloun mein shamoliat akhteyar karne par ittafaq kiya tha.

Is zimn mein North-Rhine Westphalia ki wizarat dakhela ke zaraye ne kaha ke 12 afraad mein shaamil ek Police ahdehdar ko intahi dayen baazu ke giroh se talluq ke ilzaam mein pehlay moattal kiya gaya tha taham ye baat wazeh nahi ke wo markazi mulzimaan mein shaamil hai ke nahi. Tafteesh karoun ko yaqeen hai ke September 2019 mein apne qiyam ke baad se is giroh ka maqsad, Riyasat aur Germany ke samaji nizaam ko pareshan karna aur aakhir mein usay khatam karna tha. Un hamloun ki mansoobah bandi karne ke liye giroh mobayyana tor par baqaida mulakaatein karta tha jis ka intizam aur taawun Werner S aur Tony E name markazi mulzimaan karte they.

Mazkoorah tamam mulzimaan German shehri hain jo Messenger Application ke zariye raabtey karte they. Tafteesh karoun ne is baat ka taayun karne ke liye chaapay mar karvayeoun kee ke kahin mulzimaan pehlay hi hathyaar to haasil nahi kar chukay jinhein hamloun mein istemaal kiya jaye. Giraftar kiye gaye tamam 12 mulzimaan ko jald adalat mein pesh kiya jaye ga jahan un ke remand ya jail bhejne ka faisla hoga.

Khayaal rahay ke German hukkaam ne guzashta baras June mein qadamat pasand muqami sayasatdan ke qatal aur eastern city Halle mein ek yahodi ibadat gaah par hamla ke baad mulk mein roopesh dayen bazoke intahaa pasandoun par tavajja mein izafah kardiya tha. Mazkoorah baala dono waqeat mein giraftar hone walay mulzimaan intahi dayen baazu se talluq rakhtay they.

Spiegel magazine ke mutabiq guzashta ruz Police ne chhapoun mein mutadid hathyaar bhi bar aamad kiye jis mein ek khud sakhta Slam Gun bhi shaamil thi jo yahodi ibadat gaah par hamla mein hone walay hathyaar se millti jalti thi.

Guzashta baras December mein wazeer e dakhela Federal Police ne Federal Police aur muqami Security Service mai 600 nai aasamiyoun ka elaan kiya tha taakay intahi dayen bazoki intahaa pasandi tak pouncha jasakay jo badta huva khatra hai. Is se qabal wifaqi Police ne kaha ke unhoun ne intahi dayen bazoke 48 afrad ki nishandahi khatarnaak ke tor par ki hai jo hamlay kar saktay hain. –YTN STAFF