Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsGermany me tainaat Americi fojion wapas bulanay ka elaan

Germany me tainaat Americi fojion wapas bulanay ka elaan

New York: America ne Germany mein tainaat apne 11800 fojion ko wapas bulanay ka elaan kiya hai. Ye fouji mashrq-e-osat aur Africa mein America ki karwaiyon mein hissa letay hain.

America ke mehakma difaa Pentagon ke ohday daaron  ne kaha hai aindah mahino mein taqreeban 6400 fojion ko Germany se watan wapas bulaa liya jaye ga aur 5400 ko Europe ke dosray mumalik mein muntaqil kardiya jaye ga.

Germany se Americi fojion ke inkhala ka faisla sadar Donald Trump ke elaan ki roshni mein kiya gaya hai. Americi hukkaam nay apni shanakht zahir nah karne ki shart  par bataya hai ke Americi fojion ka Germany se aindah mahino mein inkhala ka aaghaz hoga aur fazai aur barri afwaj ko un mumalik mein bheja jaye ga jahan pehlay se Americi fouji mojood hain. Un mein baaz fojion ko Poland mein tainaat kiya jaye ga.

Unhoun ney mazeed kaha hai ke un fojion ki Europe mein kahin teyinati aur America mein wapsi ke liye Arbon Dollar darkaar hon ge kyunkay un ki iqamat gahin taamer karna padin gi.

Americi sadar Trump ki apni siyasi jamaat ney un ke Europe se fojion ko wapas bulanay ke iqdaam ko tanqeed ka nishana banaya hai. Republican Party ke ewaan numayandagan ki Armed Services Committee ke baaes arkaan ney sadar Trump ke naam ek khat likha hai. Is mein unhoun ney kaha hai ke Americi fojion ki wapsi se Europe ka difaa kamzor hoga aur is se Roosi jarhiyat aur mauqa paraston ki hosla afzai hogi.

Taham Senate ki Armed services committee ke Republican Chairman Senator Mark Esper nay is mansoobay ki himayat ka izhaar kiya hai. Unhein is ke baray mein guzashta haftay tafseelaat faraham gayi thi aur unhoun nay is ke baad is ko munasib qaraar diya tha.

Taham abhi ye wazeh nahi ke agar Donald Trump dobarah sadar muntakhib honay mein nakaam rehtay hain to is mansoobah par naya muntakhib honay wala koi aur sadar amal kerega ya nahi. Sadar Trump ne guzashta mah Germany mein mojood taqreeban 36 hazaar fojion ki tadaad mein kami ka elaan kiya tha aur kaha tha ke un ki tadaad kam karkay 25 hazaar tak kar di jaye gi. Wazeh rahay ke Germany mein America ke majmoi tor par 47 hazaar fouji aur awaami ohdedar mojood hain. Wo mukhtalif fouji marakaz, Head Quarters aur tansibat par tainaat hain.