New Delhi: Sabiq Army Chief Bipin Rawat ne charshumbe ke roz mulk ke pehlay Chief of Defence Staff ka charge sambhaal liya. Bipin Rawat 31 decemeber ko Army Chief ke ohday se retire hue they. Naya ohda sambhalnay se pehlay Rawat ne Delhi ke War Memorial mein mulk ke shaheed fojioun kharaaj pesh kiya.
Mangal ke roz hindustani fouj ke Chief ke ohday se subukdosh honay walay General Rawat ko tenu foujoun se guard of honor mila. Guard of honor ke douran Rawat ke ilawa Army Chief Manoj Mukund Naravane, Air Chief Marshal Rakesh Kumar Singh Bhadauria aur deegar aala afsaraan bhi mojood they.
Media se baat karte hue, General Rawat ne kaha, Ke un ka kaam musallah afwaj ke mukhtalif shobo ke mabain hum ahangi peda karna hai. Unhoun ne kaha ”Teenu quwaten bator team mil kar kaam karengi. Aur kaha ke mujhe di gayi zimma daari ke mutabiq, Ittehaad aur wasail ke behtar istemaal ke liye kaam karonga. Is ke sath hi, Siyasi partnership ke ilzaam se mutaliq, Unhoun ne kaha ke hum siyasat se bohat daur heen. Hamein hukoomat ke ehkamaat ke mutabiq kaam karna hai.
Ghor talabb hai ke haal hi mein, Army Chief ke ohday par faiz hotay hue, General Bipin Rawat ne ek taqreeb mein kaha tha ”Qayedeen wo loog nahi hain, Jo logoun ko ghalat simt mein le jatay hai”Jaise ke hum gava rahay hain ke Universition aur collegeon ke talba ki ek badi tadaad shehroun aur qasboun mein aatish zadgi aur tashadud ke liye awam aur hajhoom ki rahnumai kar rahi hai. Ye qayadat nahi hai“. Is bayan ke baad oppostion jamaatoun ne shaded tanqeed ki thi.
Rawat ne ye bhi kaha ke inhen jo kaam diya gaya hai wo sahi rukhi khidmaat ke mabain ek ”ham aahengi“ Peda karna hai. ”hamari karwai Team Work par munhasir hogi. Hamein apni salmiyat aur Team Work ke zareya mazeed bohat kuch haasil karna hoga. –YTN STAFF