Monday, April 21, 2025
HomeSliderGeneral Qasem Soleimani ki halakat ka America se badla lainay Iran ka...

General Qasem Soleimani ki halakat ka America se badla lainay Iran ka elaan

Tehran: Iran ne Baghdad ke Airport par America hamlay mein Quds force ke sarbarah General Qasem Soleimani ki halakat par America se badla lainay ka azm zahir karte hue khatarnaak nataij ki dhamki di hai. Iraq ke dar-ul-hukoomat Baghdad mein Airport ke nazdeek America fazai hamlay mein Irani pasdaran inqilab ki Quds Force ke sarbarah major general Qasem Soleimani halaak hogaye. Pentagon se jari bayan mein daawa kiya gaya ke Qasem Soleimani Iraq aur mashriq wasti mein Amrikyoun ko nishana bananay ke liye mansoobah saazi mein mutharrak they.

General Qasem Soleimani ki halakat ke baad Iran aur America ke darmain taluqaat mazeed kasheeda shakal ikhtiyar kar gaye hain jahan America sadar Donald Trump ki janib se 2015 ke johri muahiday ke khatmay aur Iran par pabandiyan aed karne ke baad se dono mulkoun ke darmain mustaqil sorat e haal intahi kasheeda hai.

Iran ke Supreme commander Ayatollah Khamenei  ne America ko sangeen nataij ki dhamki dete hue Qasem Soleimani ko muzahmat ka aalmi chehra qarar diya aur mulk mein 3 roza Yom e Sog ka elaan kiya. Unhoun ne kaha ke Qasem aur Al-Muhandis ki un ki anthak kawishoun ka inaam shahadat ki soorat mein mil gaya aur un ke khoon se haath rangne ke jurm ka irtikaab karne waloun se intiqam liya jayega.

Iran ke sadar husn Rohani ne kaha ke Qasem Soleimani ki shahadat hamari Islami eqdaar ki hifazat aur America towsee mansooboun ke khalaa hamari muzahmat ko nai jala bakhshay gi. Unhoun ne kaha ke is baat mein koi shak o shuba nahi hona chahiye ke Iran khittay mein azaadi ke haamil deegar mumulk is qatal ka badla zaroor lenge.

Iraq ke Wazeer e Azam Adil Abdul-Mahdi ne kaha ke Baghdad ke Airport par fazai hamla Iraq parjahriyat aur is ki khudmukhtaari par hamla hai jo Iraq , Khittay aur duniya mein jung ka nuqta aaghaz saabit ho sakta hai. Unhoun ne kaha ke is karwai ke zariye America afwaj ne Iraq mein apni mojoodgi ki sharait ki bhi khilaaf warzi ki aur koi bhi karwai Iraqi security aur khudmukhtaari ko mad e nazar rakh kar ki jani chahiye thi.

Iran ne apne mulk mein America mafadaat ki numaindagi karne walay Swiss hakkaam ko talabb kar ke Quds commander ki halakat par shadeed ehtijaj kiya. Is halakat ke baad Iran ki janib se America ke khilaaf karwai mutawaqqa hai aur khittay ke ek naye tanaza ka shikaar honay ka khadsha hai jis ke baad shaam, Iraq aur dosray ilaqoun mein mojood America fouj khatray se dochar hosakti hai.

America mehakma difaa ne apne bayan mein kaha ke Qasem Soleimani Iraq aur khittay mein mojood America sefartkaroun aur fouji ohdedaroun par hamlay ki mansoobah bandi kar rahay they jis ke sabab inhen mara gaya.

Is ke sath sath America ki janib se ye ilzaam bhi lagaya gaya ke rawan haftay Baghdad mein America sefartkhane par hamlay aur pur-tashaddud ehtijaj ki mansoobah aur tayari bhi Qasem Soleimani ne ki thi. Iran ke reyasti TV ne Qasem Soleimani ke qatal ko doosri aalmi jung ke baad America ki sab se baday ghalti qarar dete hue kaha ke khittay ke awam ab America ko yahan mazeed qiyam ka koi mauqa nahi denge.

Irani wazeer kharja Mohammad Jawad zareef ne Quds force ke sarbarah ke qatal ko khatarnaak aur America ki be waqoofi qarar diya hai. Unhoun ne kaha ke general Qasem Soleimani ko nishana aur qatal karne ki aalmi dehshat gardi ka America iqdaam khatarnaak aur badi be waqoofi hai jis se khittay ke tanao mai izafah hoga aur ab is ehmaqana muhim joi ke nataij ka zimmay daar America khud hoga.

Iraq ki Hashd Al-Shaabi military force ne jummay ko America fazai hamlay mein Qesam Soleimani ki halakat ke baad apne Fighters ko tayyar rehne ki hidaayat ki hai. Asa’ib Ahl al-Haq  ke sarbarah Qaiz Al Khazali ne kaha ke tamam muzahmati Fighters tayyar rahen, Ahem mahaaz aur badi kamyabi hamari muntazir hai.

Trump un dinoun Florida mein saahil par chuttiyan mana rahay hain lekin unhoun ne America jhande ki haamil apni Twit se pegham dainay ki koshish ki. Saal ke aaghaz par kiya gaya ye hamla America sadar ke liye Strategic lehaaz se masail ka sabab ban sakta hai jahan inhen congress ki janib se muwakheza ke sath rawan saal dobarah intikhabaat mein muntakhib honay ka challenge bhi darpesh hai.

62 sala Irani general ki gaadi ko Baghdad Airport ke qareeb America Drone ke zariye nishana banaya gaya jis se wo mauqa par hi halaak hogaye. Ek senior Iraqi ohdedar ne kaha ke Soleimani ko is waqt nishana banaya gaya jab wo tayyaray se utarney ke baad Al-Muhandis aur deegar ke hamrah gaadi mein sawaar hue Qasem Soleimani Lebanoun ya Shaam se Iraq puhanche they.

Hakkaam ne kaha hai ke hamlay ke nateejay mein Soleimani aur al-Muhandis dono ke jism ke parakhchay udd gaye aur Qasem ki laash ki shanakht un ki ungli mein mojood angothi ki madad se ki gaye.

Ye wazeh nahi ho saka ke America ke paas qanooni satah par un hamloun ka kiya ikhtiyar tha lekin America sadar Donald Trump ne kaha ke agar America ohdedaroun aur mafadaat ko khatraat la-haq hon to wo congress ki manzoori ke baghair karwai ka haq mehfooz rakhtay hain taham Pentagon is baat ka koi saboot pesh nahi kar saka ke Qasem Soleimani America ke khilaaf naye hamloun ki mansoobah bandi kar rahay they.

Donald Trump ke hareef aur Democrates ke sadaarti umeed waar Joe Biden ne is karwai ko jalti par tail se tabeer karte hue kaha ke is karwai se America mashriq wasti mein ek naye tanaza ka hissa ban gaya aur pehlay se adam tawazun ka shikaar khittay ke tanao mai mazeed izafah hoga. –YTN STAFF