Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaGeedadh ki 100 sala zindagi se, sher ki ek din ki zindagi...

Geedadh ki 100 sala zindagi se, sher ki ek din ki zindagi behtar hai“: Tipu Sultan

Hindustan ke pehlay Mujahid-e-azaadi,Hindustan ki tareek-e-azaadi ka pehla shaheed, sher-e-Mysore Tipu Sultan ka aaj batarikh 20 November ko yom-e-paidaiesh hai. Hindustan ki tehreek azaadi ka pehla Mujahid Tipu Sultan 20 November 1750 barous Jummay ku Karnataka ke Devanahalli ke maqam par Hindustan ki saltanat Mysore ke aakhri farmaruva Nawab Hider Ali ke ghar peda hue. un ki walida ka naam Fatima fakharunnisa tha. Hider Ali ne narina aulaad ki arzoo may halkaat ke mashhoor buzurag Tipu Mastan ke mazaar par dua mangi thi. is liye apne betay ka naam isi buzurag ke naam par rakha. kaha jata hai ke Tipu ka asal naam fatah Ali tha, lekin tareekh may is baat ka koi saboot nahi milta hai.

Tipu bachpan se hi jarry , mehnat kash aur saahab  Liaqat they. Islami uloom ke ilawa Arabi, Farsi, Angrezi, Francesi, Urdu, Tamil, Kanadi jaisi zabanoun par bohat jald uboor haasil kar liya tha aur is zamane ke fanoon sipah giri, Shamsheer zani, Teer Andazi, Nezah Baazi, Teraaki waghera may bhi kama huqqa mahaarat haasil ki thi aur sun balogh tak pahunchaty pahunchaty Tipu Sultan ne Harb-o-zarb ke aadaab aur Rizam-o-pekaar ke angrezi tareeqoun se bhi waaqif ho chuke they.

Wo ek bahadur aur sher-e-dil ensaan they, shujaiat-o-bahaduri may unka koi hum sir nah tha. sher unka pasandeeda janwar tha, shayad isi liye angrazeo ne inhen sher Mysore ka laqab diya tha. wo apne waalid Hider Ali ki terhan azaadi pasand they. unhoun ne apne waalid ke sath kayi jangoo may hissa liya tha. wo ek bahadur Mujahid aur pakkay musalman they. Fajar ki Namaz ke baad Quraan pak ki talawat karte aur sara din ba-wudu rehtay they. khud ek aalam they aur ahal-e-ilm ki qader karte they. is ke sath sath wo taasub se bhi pak they. is ka saboot ye hai ke Purniya  jaisay Hindu unke wizarat may shaamil they.

Wo jantay they ke European aqwam ki bartari ka raaz sanat-o-tijarat ki taraqqi may po shaida hai. chunancha unhoun ne Tajir, sanatkar, mahajan aur siraf ki bhar poor hosla afzai ki. hukoomat ke liye unhoun ne mukhtalif mehakmay qaim kiye, jin ki tadaad 99 ke qareeb thi. Tipu Sultan ki mulk-o-qoum ke liye khidmaat ki ginti nahi ki ja sakti aur nah hi un ki shakhsiyat aur karkardagi ke baray may itnay kam safahaat may zikar kiya ja sakta hai. bas itna kaha ja sakta hai ke wo Hindustan ka aye aisay mard Mujahid they jinhoun ne mulk ki azaadi ke liye khud ko qurbaan kar diya.

Tipu Sultan 1782 may Mysore ke Sultan-o-Tipu ke waalid Hider Ali ki wafaat ke baad takhat nasheen hue. unke takhat nasheen honay ke sath hi ek taraf Bratinia  saltanat nao aabadiyati saltanat ki towsee ke liye Compane ki hukoomat ne ek zabar dast buneaad haasil ki. to doosri taraf Tipu apni bahaduri aur sifarat kaari ke zor par Mysore ki hifazat ke liye par azm they. 18 we sadi ke aakhir mein Tipu Sultan ek bohat baday hukmaran they, jinhoun ne angrazeo ko Hindustan se be-dakhal karne ki koshash ki. angraiz un se hamesha khaufzadah rehtay they.

Tipu Sultan apni reyaya ke dukhoun se bohat fikar mand hotay they, unke daur hukoomat mein har qoum ke loog chote baday, mazdoor-o-kisaan sabhi khush they. wo ek mazhabi shaksiyat aur pakkay musalman they jo Hindu aur musalmanoon ko ek aankhh se dekhte they. wo deegar qomoun se taasub nahi khuloos hamdardi rakhtay they. magar aaj kuch firqa parast taktien inhen bura bhala kehte hain. yahan tak ke mulk ki zafrani party Tipu Sultan ke naam-o-nishaan ko mitanay mein masroof hai. haal hi mein Karnataka ki Yadiyurappa hukoomat ne Tipu Sultan ke yom-e-paidaiesh sarkari tor par mananay se inkaar kiya aur Tipu Sultan ke talluk se mazameen ko nasabi kitaboun se hataane ki koshash kar rahay hain, jo Tipu Sultan se unkay taasub ka khula saboot hai. jabkay Karnataka mein Tipu Sultan ko ek khaas ahmiyat haasil hai, jis se ko yi inkaar nahi kar sakta.

Tipu Sultan ek qabil haakim ke ilawa aalam, hunar mand aur shayar be they. Tipu Sultan ko janoobi Hindustan ka Ambidkar bhi kaha jata hai, kyun kay unhoun ne dalitoun ko unke daur hukoomat mein masharti huqooq ki pusht panahi ki aur rehnumao ke muzalim se inhen azad kiya aur inhen zindah rehne ka ek maqsad faraham kiya. Tipu Sultan khawateen ko ba ikhtiyar bananay ke hak mein they. unke daur hukoomat mein khawateen ko izzat ka maqam haasil tha.

Tipu Sultan Hindustan ki azaadi ke pehlay Mujahid they, jinhoun ne apni bahaduri o-shujaiat se angrezoun ke daant khattay kar diye they. wo bahaduri aur shujaiat ke sath aur emandarana haakim ke tor par zindagi guzaarne ke haami they aur kisi ke agay jhuknay aur dar kar bhagnay ke sakht khilaaf they. unka ek mashhoor qoul hai ke “qedad ki 100 sala zindagi se sher ki ek din ki zindagi behtar hai“.

Wo aakhir tak angrazeo se muqaabla karte rahay aur Tipu Sultan ne 4 May 1799 ko angrazeo se ladtay hue jaam shahadat nosh fir maai. wo Hindustan ki jung azaadi ke pehlay Hero aur pehlay shaheed they. wo zindagi bhar angrazeo ke mukhalif rahay aur unhoun ne farangion ke ghalbay se mulk ko bachanay ki khatir balakhir apni jaan dedi. dushman par unka roab aur dabdaba itna ziyada tha ke arsa daraaz tak angraiz apne bachoun ko Tipu Sultan ka naam le kar darati the. yaqeenan Tipu Sultan jaissa sher Hindustan mein dosra peda nahi ho sakta.

Tipu Sultan ke yom-e-paidaiesh ke mauqa par chashumbe  ko Twitter sarfeen ne inhen zabardast kharaaj tehseen pesh kiya, is zimn mein bohat se logoun ne Mysore ki Sabiqa saltanat ke badshah ke hawala ke sath hashtag Sultan , sher-e-Hind Tipu Sultan , Tipujanti aur Tiger mein Mysore ke sath un ke qeemti samaan ki tasaveer bhi shayaki. Twitter par Tipu Sultan per 3143 twits post ki gaye.

Vanchit Bahujan Aghadi ke rehnuma ne likha ”Mysore ka badshah Tipu Sultan hamesha hi apni bahaduri aur Bartania hukmarani ke khilaaf mustakil muzahmat ke liye jana jata hai“. unke ilawa ek aur Twitter sarif ne likha ”Tipu Sultan wahed Hindustani hukmaran they, jinhoun ne angrazeo se Hindustan ko la-haq khatraat ko samajte they aur inhein Hindustan se be-dakhal karne ke liye chaar jaanghein ladhen.

Is lehaaz se inhien Barr-e-Saghir ka pahila azaadi pasand kaha ja sakta hai“. ek aur sarif ne Tipu Sultan se mansoob ek iqtabas shaye kiya ”sher ki ek din ki zindagi, geedadh ki 100 sala zindagi se behtar hai“. is ke ilawa deegar kayi Twitter sarfeen ne Tipu Sultan ke yom-e-paidaiesh par apne apne alfaaz mein kharaaj pesh kiya. –YTN STAFF