New Delhi : Lok Sabha intikhabaat mein mashriqi Dehli se aam aadmi party ki umeed waar Aatshi nay apne hareef Bhartiya Janata Party ke umeed waar Gautam Gambhir ke paas do voter card honay ka ilzaam lagatay hue unke khilaaf fouj daari shikayat darj karwai hai .
Aatshi nay Twitter par is ki ittila dete hue kaha Mr Gautam Gambhir ka naam Karol baagh aur Rajendar Nagar dono assembly halqoun mein Voter ke tor par darj hai. unhoun nay kaha ke awaami numaindagi qanoon 1950 ki dafaa 17 ke tehat koi shakhs do assembly halqoun se Voter nahi ho sakta. qanoon ki dafaa 31 mein iltazam hai ke Voter list mein naam ke baaray mein ghalat ittila dainay par ek saal tak ki saza hosakti hai .
Aap umeedwaar nay kaha ke namzadgi ke waqt election officer ko diye gaye halaf nama mein bhi gautam Gambhir nay yeh ittila di hai ke unka naam Karol baagh assembly halqa mein bhi Voter ki shakal mein darj hai. halaf naame mein unhon nay kaha ke woh Rajendar nagar assembly nishist se Voter hain. is muamlay mein Aam Aadmi Party ke umeed waar nay fouj daari shikayat darj karwai hai .
Aatshi nay ek deegar tweet mein mashriqi Dehli lok sabha halqay ke raye dahindoun se appeal ki ke woh Gambhir ko vote day kar apna vote barbaad nah karen kyun ke do Voter shanakhti card honay ki wajah se aaj nahi to kal unka intikhab mustard hona hai. yaad rahay ke hindustani cricket team ke sabiq opener Gautam Gambhir nay haliya dinon mein BJP mein shamoliat ikhtiyar ki hai lekin unhon nay apne cricket career ke douran aksar aqliati tabqay ke khilaaf mutanazia bayanaat dete rahay hain .- YTN STAFF