Mumbai : Hindustani cricket team ke kamyaab tareen captains mein shumaar kiye jaane walay sabiq captain Sourav ganguly hindustani cricket control board ( BCCI ) ke sarkari tor par sadar ke ohda par Faiz hogaye hain.
BCCI ke Mumbai mein hue ijlaas mein Ganguly ko sarkari tor par board ka sadar muqarrar kiya gaya hai. ganguly BCCI ki 65 sala tareekh mein pehlay sabiq cricketer hain jinhein is idaara ke sarbarah ka ohda tafweez kiya gaya hai. is se qabal guzashta 33 mah se supreme court ki janib se muqrar kardh muntazmeen ki committee BCCI ke umoor ko sambhal rahi thi jis ki muddat bhi sabiq captain ke taqarrur ke sath aaj khatam hogayi.
Ganguly ne board ke election officer N gopal swamy¸ ki mojoodgi mein apna ohda qubool kya. is ke alawa COA ke rukan aur reyasti cricket association ke numainday bhi yahan mojood they. Ganguly ke alawa 4 deegar ohdedaron ne bhi si COA se board mein apne apne ohday sanbhalainge. muntazmeen ki committee ki sadarat sabiq CAJ Vinod raye sambhaal rahay they jabkay Diana aur Lieutenant General ravi deegar jo board ke kaam kaaj dekh rahay they.
Raye ne is mauqa par kaha mein BCCI ki zimmedaari chodtay hue mukammal tor par mutmaen hon. 5 sabiq khiladi intizamia ka hissa hain jis se behtar aur kuch nahi hosakta. is ka naya sadar hamaray sab se ziyada kamyaab captanon mein se ek hain, jinhon ne bangal cricket association ke sath 5 saal guzaray hain aur ab BCCI ki zimmedaari sanbhalainge. unse behtar is ohday ko sambhalne wala aur koi nahi tha.
Unhon ne kaha hum ohdedaron ke khandani taluqaat ko lekar hamesha shukook wo shobhat mein they. hamara kaam aeen ke mutabiq intikhabaat karwana tha aur woh hum ne kar diya hai. wahein hindustani khatoon team ki sabiq captain aur COA rukan dayna ¸ ne bhi ganguly ke taqarrur par khushi ka izhaar kiya. unhon ne kaha mein sabiq cricketer ke sadar muntakhib honay se bohat khush hon. mujhe yaqeen hai ke woh BCCI ko nai bulandiyon par le jayenge. –YTN STAFF