Saturday, May 4, 2024
HomeJurmGanguly, Kohli, ko Madras High court ki notice

Ganguly, Kohli, ko Madras High court ki notice

Chennai:  Madras high court ne junoobi Hindustan ke Maroof adakar rana daggubati, prakash raj, aur tammanah bhatiya ko online juvaa ke khel ki himayat karne par notice jari kardiye hain. Adalat ne hindustani cricket team ke sabiq captain aur BCCI ke chairman sourav Ganguly, moujooda cricket team ke captain virat kohli ko bhi notice bheje hain. juvva ki games mein hissa le kar raqam zaya honay walay nojawan ki khudkushi ke baad wakeel Mohammad Rizvi ke zareya dayar kardah muqadmay par adalat ghor kar rahi thi jis ke baad isne filmi aur cricket duniya ki Maroof shaksiaat ke khilaaf notice jari ki hain or kaha ke kiya yeh log online juvva ki wajah se awam ko honay walay nuqsaan se waaqif nahi?

Telangana mein juvva ke khel par pabandi aaed ki nishandahi karte hue Madras high court ne tamil nadu hukoomat ko aisay kheloun par pabandi aed karne ki hadaayat di hai. adalat online juvva par pabandi ke liye dair darkhwast ki samaat kar rahi thi. online juvva ki himayat karne wali mashhoor shaksiaat par adalat naraaz hai.

Adalat ne kaha ke ye mashhoor shaksiaat apni jebein bharnay mein ziyada fa-aal rehti hain aur logon ki Falah wo behbood ki parwah karne ke baray mein sochti nazar nahi aati hain. juvva ke zareya khelon mein istemaal honay wali raqam kahan jarahi hai? Madras high court ne herat ka izhaar karte hue riyasat aur markazi hukoomat dono se 15 din ke andar jawab denay ko kaha hai. Adalat ne mushahida kiya ke online juvaa awam ke liye ek ghalat misaal qaim karega aur iss se mutaliq apps logon ki zindagion ke sath khelaingi.

Yaad rahe ke Indian premier league ( IPL) season ke douran cricket se mutaliq satta baazi, juvaa aur inamat ka lalach deinay walay online games urooj par hotay hain. yeh hi nahi balkay badi badi companian awam aur khaas kar cricket shaiqeen ko inamaat ki targheeb day kar apni tijarat ko farogh deinay mein sargaram nazar aati hain. .