Wednesday, May 8, 2024
HomeHyderabadGandhi se 310 mareezoun ko ghar bhaij diya gaya

Gandhi se 310 mareezoun ko ghar bhaij diya gaya

Hyderabad: Gandhi Hospital mein 310 se ziyada corona ke  marizoun ko jinhen pichlle 3 din se bukhaar nahi huwa tha, Dawakhane se ghar rawana kardiya gaya kyunkay inhen ghar mein Quarantine ki muddat guzaarne ki sahoolat mojood hai, Jabkay 83 mareezoun ko Nature Care hospital, Begumpet aur government Ayurvedic hospital Erraganda mein sarkari Quarantine ki sahuliyaat mein rakha jayega.

Har mareez ko duwaein, Mask, Dastanay, Sanitizer aur nuskhay ke form par mushtamil ek kit di gayi hai. Ye faisla ICMR ki haliya hidayat ke mutabiq liya gaya hai jis ke tehat aisay mareezoun jinhein lagataar 3 din tak bukhaar nahi hota hai aur inhen ghar mein Quarantine ki muddat poori karne ki sahoolat mojood ho inhen ghar jaaane ki ijazat di gayi.

Gandhi ke intizamia ki taraf se 30 Ambulance aur 3 Buses ka ihtimaam kiya gaya tha taakay wo un marizoun ko un ki rahaish gaahoun par bhaij saken. Darin Isna, Mazeed 67 bazyab mareezoun ko Gandhi hospital se discharge kardiya gaya. Majmoi tor par Gandhi hospital mein mareezoun ke badhti tadaad ku kam karte huve majmoi tor par taqreeban 450 mareezoun ko chhutti day di gayi.