Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaGandhi ji ke nazariyat par amal se Hindustan aalami qiyadat ke layeq...

Gandhi ji ke nazariyat par amal se Hindustan aalami qiyadat ke layeq ban sakta hain

New Delhi: Aaj jabke babai qaum ka youm e paidayish manaya jaraha hai aur Mahatma Gandhi ki maujooda daur mein ehmiyat o afadiyat par roshni dalte huwe Indra Gandhi national center faar daa arts ke sadar padam Shri ram bahadur rai ne kaha ke Gandhi ji ek karam yogi aur buniyadi taur par ek siyasi insan the. Woh maroof manon mein falsafi ya mufakkir nahi the lekin unki khoobi yeh thi ke woh har aane wali mushkil ko door karne ka rasta dhoond lete the.

Unho ne qaumi urdu concel ke sadar daftar mein babai qaum Mohan Das Karamchand Gandhi ki nazar mein Hindustan ka tasawwur ke unwan se khusoosi lecture dete huwe kaha ke Gandhi ji ki shaqsiyat khuli kitaab ki tarha hain lekin deegar masliheen ki tarha unho ne apne falsafa o nazariyat ko yakja karne ki koshish nahi ki yeh baad wale naslon ki zimmedari hain ke woh unki zindegi ko padhe aur samjhe. Unho ne mazeed kaha ke Gandhi ke khuwabo ka Hindustan woh hai jo unho ne 1942 mein kaha tha ke azaad Hindustan mein hukoomat Hindustanio ki hogi. Is tarha Gandhi ke khuwabo ka Hindustan yeh hai ke sisyasi iqtedar mehaz shehron tak hi mehdood na rahe balke gaon tak iska daira phailaya jayein jise gram sauraj bhi kaha jaata hain.

Mere sapno ka Bharat ek aisi kitaab hai jis mein sauraj hubbul watani jamhooriyat qaumi zuban aur rasmul khat ram saurajiya aqliyat mazhabi rawadari wagaira par Gandhi ke nazariyat ko samajhne mein madad milti hai. Ram bahadur rai ne Gandhi ki asri manwiyat ke hawale se kaha ke jis tarha Gandhi ji ki ehmiyat unke daur mein thi is tarha aaj bhi qayem hain aur unke nazariyat par amal kar ke hum Hindustan ko har sateh par taraqqi yafta aur aalami qiyadat ke layeq bana sakte hain.

Qabl azee qaumi urdu concel ke director professor shaikh Aqeel Ahmed ne apni tarufi khitab mein muazziz mehmaan ki hama jehat shaqsiyat par roshni dalte huwe kaha ke ram bahadur rai ne sahafat mein taweel khidmat anjaam di hain jai prakash andolan mein bhi unka kuledi kirdar raha hai. Unho ne kabhi apne usoolon se samjhota nahi kiya. Bohut se akhbaron mein unke kalom chapte rahe hai aur unho ne mutadud kitabein bhi likhi hain..apni siyasi sahafati o samaji khidmat ke ewaz padam shree aur deegar ezazat se bhi nawaze ja chuke hain.

Professor shaikh Aqeel Ahmed ne mauzoo ki munasibat se Gandhi ji ki shaqsiyat aur falsafe par guftagu karte huwe kaha ke Gandhi ji ki paigamat o taleemat mein wehdat o Ittehad apne kaam aur nasabul ain ke tai wafadari adam tashaddud bain mazahib mukalima ki zaroorat rawadari ek dusre ko samjhana apni ghaltiyon ko tasleem Karna jaisi cheezein ehum hain unho ne yeh bhi kaha ke maholiyat ke tai hasasiyat qudrati wasayil ka jayez istemal bhi Gandhi ke ehum nazariyat hain. Unho ne kaha ke Gandhi ji ke siyasi nazariyat Hindustan hi nahi puri duniya ke liye aaj bhi kargar hain.