Sunday, April 20, 2025
HomeOthersPublic InterestGandhi Jee ne apni saari zindagi mein sirf ek film dekhi thi

Gandhi Jee ne apni saari zindagi mein sirf ek film dekhi thi

New Delhi : Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ki shakhsiyat ki wajah se hi 1921 mein Bhakta Vidur Nami film ki numayesh par pabandi lagadi gayi thi jo mulk ki pehli censored film thi. yeh ittila Mahatma Gandhi ki 150th Jayanti ke ekhtataam ke mauqa par shaya ”aaj kal“ magazine ke Gandhi khusoosi shumara mein di gayi hai.

Information transmission ki wizarat ki janib se 75 saal se mutawatar shaya horay hai is magazine ke october ke shumara mein shaya ek mazmoon ke mutabiq 1921 mein bani film Bhakta Vidur mein mahabharat ke ek kirdar ko Gandhi topi aur khaddar ki kameez pehnay dekhaya gaya tha. Mumbai mein film ko dekhnay ke liye itni bheed thi ki police ko laathi charge karni padi thi. is film ko is waqt ke censor board ne pabandi lagadi thi.

Film sahafi ajay ke mazmoon ke mutabiq censor board ne apne hukum mein likha tha hamein pata hai ke aap kiya kar rahay hain. yeh Vidar nahi hai. yeh gandhi hai aur hum iski ijazat nahi denge. baad mein is film Chennai aur hyderabad mein bhi pabandi laga di gayi thi.

Vidar ka kirdaar film ke studio ke maalik Dwarka das sampat ne ada kiya tha. sampt ne baad mein bataya ke unhon ne film ke fankaron se keh rakha tha ke woh mujhe gandhi hi samjhain. nazreen ko kuch nahi bataya gaya tha ke vidar mein gandhi ki Shabeeh hai lekin Bartanwi hukkaam ne usay pehlay hi bhaanp liya aur is par pabandi Aed kardi thi.

Magazine ke mutabiq 1927 mein indian cinematography society ke ijlaas mein dada sahib phalkay aur Lala lajpat raye ke alawa gandhi ko bhi filmon ke barey mein ek sawal nama bheja gaya tha jis ke jawab mein gandhi ne kaha ke film samaaj ka nuqsaan karta hai aur unhon ne is waqt tak koi film dekhi hi nahi. baad mein unse hindustani cinema ki silver jubilee par filmon ke baarey mein unse unka paegham manga gaya to un ke secretary ne pegham dainay se inkaar kar diya kyunkay gandhi jee filme pasand nahi karte they.

Gandhi jee ne harijin mein likha mein to kahunga ke ziyada tar film, cinema buray hotay hain. gandhi par pehli documentary film 1937 mein banai gayi thi. usay madras ke AK Chatyar ne banai thi lekin is par bhi hukoomat ne pabandi aed kar di thi.

Gandhi jee ki aawaz pehli martaba 1931 mein America ki fox movie¸ tone company ne record kiya thi. is se pehlay 1922 mein Gandhi jee pehli martaba Bartania ki ek news rail mein dikhey gay they. Gandhi jee ne apni zindagi mein sirf ek hindi film Ram Rajya 1943 mein dekhi thi, jiski vijay Bhatt ne hidaytkari ki thi. kaha jata hai ke is saal unhon ne hollywood ki film mission two moscow bhi dekhi thi. Mahatma Gandhi ke cinema ke tain manfi nuqta nazar ke khilaaf mashhoor film director sahafi khaja Ahmed abbas ne Gandhi jee ko 1939 mein ek sakht khat bhi likha tha. magazine ne unka woh khat bhi is shumare mein shaya kiya hai. –YTN STAFF