Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaGandhi jee ke qatal par RSS ke jashann mananay ke tareekhi shawahid...

Gandhi jee ke qatal par RSS ke jashann mananay ke tareekhi shawahid mojood

Thiruvananthapuram: Un dinoun Social media par ek tasweer teezi ke sath maqboliat haasil kar chuki hai kyunkay 30 January ki munasbat se babaye qoum Gandhi jee ka qatal jo kay 1948 mein kiya gaya tha aur ab 2020 mein wahi RSS ke zehniat walay shakhs ne pur aman ehtijaj karne walay Shaheen Bagh ke muzahireen par goli chalaye isi wajah se 30 January ke din tareekh ne khud ko dohraya hai lekin ye bohat kam loog jantay hain ke Gandhi jee ke qatal ke baad RSS ke hamioun ne jashann mananay ke ilawa methayan bhi taqseem ki hain is ke tehreeri saboot bhi tareekh ka hissa hain.

Gandhi qatal ki munasibat se guzashta roz Hindustan bhar mein kayi ek waqeat ki yaad taaza ki gayi thi jis mein ek tehreer Malyamlam ke anjahani shayar O.N.V Groupki shakhsi yaden hain jo kay hafta waar risala ” kalikamodi “ Morkhah 10 Feb 1991 mein shaya hui then is ke bamujab Gandhi jee ke qatal ke baad RSS ke hamioun ne Thiruvananthapuram mein bhi mithayee taqseem ki thi aur jashann manaya tha. ONV ke mutaliq jo tehreer is waqt zair gasht hai is ke mutabiq Gandhi jee ke qatal se 2 haftay qabal RSS ka ek ijlaas Thiruvananthapuram ke thinkpad mein munaqqid huva tha jahan khaki libaas mein razakaar aur dosray karkun mojood they. Iss ijlaas se RSS nazriaat ke guru Golwalkar ne khitaab kiya tha. Iss ijlaas mein shirkat aur qaumi ittehaad ke sath azaadi par Golwarkar ke nazriaat jan-nay ke liye University college ke talba ka ek group bhi pouncha tha. Golwarkar ne apni taqreer ke douran Gandhi jee ko sakht tanqeed ka nishana banaya tha. Taqreer ke baad qalamkar Maletu ramakrishna aur Gurunakapliji Kartikan ne un se chand sawal kiye they jis mein azaadi ki jung mein RSS ke kirdaar par bhi istafsaar tha. Sawalaat ka pursukoon aur itminan ke sath jawab dainay ke bajaye wo barham hogaye aur uُnhoun ne RSS ke kaarkunon ko hidaayat di ke wo in qalamkaroun ki pataayi karen jin mein beshtar RSS kaarkunoun ka talluq Thiruvananthapuram ke Tamil barhaman tabqa se tha. Uُnhoun ne qalamkaroun ke sath deegar afraad ko bhi maarna shuru kiya.

Wo loog unn ke paas mojood lathyoin se qalamkaroun ko peetna shuru kiya tha. 2 haftay baad hamein pata chala ke Gandhi jee ke is duniya se chalay jaany ki khabar aayi. Uss mauqa par hum Ticode ki sadak par tazeyati jalsay ke sath chal rahay they lekin yahan ka manzar tabdeel tha kyun ke yahan par ek RSS ke shakhs ka makaan tha jahan ek group mithayyan taqseem karne ke alawa Gandhi jee ke qatal par jashann manaraha tha. Ye manzar dekh kar hum kaafi barham hue they aur iss group par hamla karna chahtay they lekin ye Verda rajan the jinhoun ne hamein khamosh karwaya. Jis ke baad hum khamosh March mein shaamil hogaye. Is mauqa par kalikamodi weekly mein morkha 10 feb 1991 ku ONV ki yaado ke sath ye waqea bhi shaya kiya gaya tha. Kayi daheoun baad bhi inn ke zehan mein Golwarkar ki taqreer aur Gandhi jee ke qatal ke baad mithayyoun ki taqseem aur jashnn ki talkh yaden aaj bhi mehfooz hain. –YTN STAFF