Monday, May 20, 2024
HomeIndiaGandhi Jee ka 150th youm-e-paidaesh, BJP aur congress ke apne apne khel

Gandhi Jee ka 150th youm-e-paidaesh, BJP aur congress ke apne apne khel

Hyderabad : Hindustan bhar mein aaj Baba-e-qoum Mohandas karam chand Gandhi ka 150 wahn yom-e-paidaiesh poori mohabbat aur wabastagi se manaya ja raha hai yeh aur baat hai ke barsir iqtedar BJP aur iski Haleef jamaaton ko Gandhi jee se ziyada unko qatal karne walay Nathuram godse se aqeedat hai jis ki kayi ek misalein haliya dinon mein dekhnay ko mili hain.

Gandhi jee ke 150 yom-e-paidaiesh ke mauqa par jahan Wazeer-e-Azam Narendra Modi badastoor apni wah waahi lootne aur opposition ne hukoomat par tanqeed karne koi mauqa nahi choda. Wazeer-e- azam ne Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ko azaadi se ziyada safai Aziz honay ka zikar karte hue kaha ke hamein unke 150 paidaiesh par inhen saaf aur sahet mand Hindustan ki shakal mein amli kharaaj aqeedat paish karna hai.

Modi ne yahan Rashtrapati bhavan mein ”#Gandhiat150“ ke naam se Baba-e-qoum ke 150 yom-e-paidaiesh ke saal ke aaghaz aur Mahatma Gandhi bain ul aqwami Swachta conference ke ekhtataam par mushtarqa programme se khitaab karte hue kaha ke bapu ka khawab safai ke azm par mabni tha. azaadi ki ladai ke waqt gandhi jee ne kaha tha ke safai aur azadi mein woh safai ko tarjeeh denge. sawal yeh hai ke Mahatma Gandhi baar baar swachta par itna zor kiyun dete they? sirf is liye nahi ke safai se bemari nahi hoti balkay is liye ke jab hum gandagi ko door karte hain to safai hamein halaat ko qubool karne ki rujhan ki taraf le jati hai. safai ko shaoor mustahkam karti hai. gandhi jee ki safai ki tehreek be hisi se baydaari ki taraf le jaaney koshish thi.

wazeer-e-azam ne kaha ke yeh Gandhi ke khayalat ke asr ka hi nateeja tha ke 4 baras qabal 15 august 2014 ko lal qilah se unhon ne 2 october 2019 ko unke 150 yom-e-paidaiesh tak mulk ko aam jagahon par rafa haajat se pak bananay ki muhim shuru karne ka elaan kiya tha. Modi ne apni tareef khud karte hue kaha ke mujhe fakhr hai ke mein ne unke betaye hue rastay par chaltay hue swach Bharat ko awaami tehreek banadiya hai.

Gandhi jayanti ke din jahan Modi ne apni tareef karne ka mauqa nahi ganwaya wahein congress ne BJP ko tanqeed ka nishana bananay ka mauqa jaaney nahi diya. Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ki 150 jayanti ke mauqa per congress ki sarbarah Sonia gandhi ne RSS aur BJP par shadeed tanqeed ki.

Congress ke gandhi sandesh yatra ke naam se nikalay gaye March ke ekhtataam par Sonia gandhi ne kaha ke kuch log RSS ko mulk ki alamat banana chahtay hain lekin yeh mumkin nahi hai. hamaray mulk ki bunyaad mein Gandhi ka nazriya hai.

Congress karkunaan se khitaab ke douran Sonia gandhi ne kaha ke Mahatma Gandhi ne poori duniya ko Adam tashadud ka rasta ikhtiyar karne ki taraf Raghib kiya. aaj Hindustan jahan pohancha hai woh gandhi ke rasta par chal kar hi pohancha hai. unhon ne kaha ke gandhi ka naam lena aasan hai lekin is rasta par chalna bohat mushkil hai.

Congress sadar ne kaha ke Mahatma Gandhi ke rasta se hatt kar apni simt mein le jaaney walay pehlay kabhi kam nahi they, guzashta kuch saal mein Saam daam dand bhaid ka khula karobar karke woh apne aap ko bohat taaqat war samajte hain, is ke bawajood Hindustan bhatka nahi hai kyun hamaray mulk ki bunyaad mein Gandhi ke nazriaat Muzmer hain.

Is ke alawa Madhya pradesh ke chief minister kamal nath ne Gandhi jayanti par kaha ke mulk, duniya aur samaaj mein pehlay tanao se azad honay ke liye Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ke nazariye ko apnane aur unke dikhaye hue rastay par chalna zurori hai. kamal nath Mahatma Gandhi ki 150 yom-e-paidaiesh par Madhya pradesh congress committee ke zareya munaqqid padyatra mein shaamil hue.

Unhon ne muqami Roshanpura chaurahe se manto hall mein waqay Mahatma gandhi mujasmay tak Padyatra ki. Mahatma Gandhi ke mujasmay par phooloun ke haar chadha kar inhen kharaaj aqeedat paish kiya. is ke baad woh purani vidhan sabha chaurahe par waqay sabiq wazeer-e-azam aanjhani Lal Bahadur Shastri ke mujasmay ke muqam par pohanche aur unke mujasmay par bhi phooloun ke haar chadha kar kharaje aqeedat paish kiya.

chief minister ne kaha ke Mahatma Gandhi sirf Hindustan hi nahi poori duniya ke leader they. Gandhi ne apni shakhsiyat aur kamoun se poori duniya mein apni shanakht banai thi. America ke sadar ka zikar karte hue kaha ke unke kaam karne ki jagah par bhi Mahatma Gandhi ki tasweer lagi hui hai.

Congress leader Rahul gandhi ne Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ko yaad karte hue tweet kiya, Baba-e-qoum Gandhi jee ko unki 150 yom-e-paidaiesh par kharaaj aqeedat, jinhon ne apne alfaaz aur kamoun ke zareya se hamein sikhaya ke sabhi zindah makhlooq ke liye mohabbat aur Adam tashadud hi istehsal, shidat pasandi aur nafrat ko shikast dene ka wahid tareeqa hai. –YTN STAFF