Telangana mein corona ke barhatay mamlaat darj ho rahay hain jis mein ishara diya gaya hai ke mushkil din qareeb hain jaisa ke hospitals mein taqreeban 1,866 mareez hain. 2021 mein pehli baar Greater Hyderabad zone mein 100 se ziyada mamlaat darj kiye gaye hai. Rava hafta peer ko 103 mamlaat ka pata chala hai aur aakhri baar jab zone mein bohat ziyada mamlaat 31 decemeber 2020 ko dekhnay mein aaye. Ek aur pareshan kin rujhan yeh bhi hai ke azlaa mein bhi mamlaat mein izafay ki ittila di jarahi hai.
ALSO READ:Taleemi idaron ke band honay ke baad bus stations par talba ka hajhoom
Misaal ke tor par Medchal aur Ranga Reddy mein bal tarteeb 32 aur 27 mamlaat report hue hain. Nizamabad jo maharashra se muttasil sarhad par waqay hai yaha 18 muamlay the aur Karimnagar se 12 mamlaat samnay aine hain. Darin Isna Sehat ke ohdedaron ne awam se ahteyati tadabeer badhaane ki takeed ki hai. Director public health Dr.GS Rao ne kaha ke agarchay lockdown ya raat ke curfew ke baray mein koi tajweez zair ghhor nahi hai tamaam awaam ko, mask pehannay, masharti faaslay ko barqarar rakhnay aur safar se guraiz jaisay ahteyati tadabeer apnaana hoga.
Humare paas ab covid-19 se nimatnay mein ek saal ka tajurbah hai. Hamari koshisho ko kamyaab bananay ke liye awaam ko humare sath taawun karna chahiye. Riyasat teeka laganay walay maqamat ki tadaad mein izafah karne ka bhi mansoobah bana rahi hai taakay abadi ka aik bara hissa hifazati teekay lagey. Dr.Rao ne kaha ke Covid-19 ke khilaaf badhte hue mamlaat ko jaanch mein bhi izafah kiya jaye ga. Mehakma sehat zaraye ne kaha hai ke Gandhi hospital me sangeen soorat e haal mein daakhil honay par kari nigah rakhi jarahi hai aur is ke mutabiq, gair corona ilaaj ko tadaad ko kam karne par bhi ghhor kya ja raha hai.