Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadGandhi Hospital mein 1st decemeber se deegar tibbi khidmaat dobarah shuru karne...

Gandhi Hospital mein 1st decemeber se deegar tibbi khidmaat dobarah shuru karne ka imkaan

Hyderabad: Gandhi Hospital jo is waqt  sirf corona mareezon ke ilaaj mualjay tak mehdood  ho chukka hai lekin umeed hai ke ab 1st december se  doosre mehakmon mein dobarah ilaaj shuru karega jis mein kuch hisson ko khusoosi tor par coronavirus ke mareezon ke ilaaj mualjay ke liye mukhtas kiya jayega.

Hospital ke superintendent Dr Raja rao ki zair-e-sadarat dawakhana ke mehakma ke sarbrahan ka ijlaas hua jis mein is silsilay mein yeh faisla liya gaya  aisa samjha jata hai.

Dawakhana mein mehakma ke 17 sarbarahan par mushtamil committee ne dawakhana mein aam tibbi aur sehat ki khidmaat ko dobarah shuru karne samait mukhtalif pehluo ka mutalea kiya jis mein deegar cheezon ke alawa dawakhana  superintendent ko ek  report paish ki gayi. yeh report reyasti hukoomat ko arsaal ki ja rahi hai.

Chunke Gandhi Hospital khusoosi tor par un mareezon ke ilaaj ke liye waqf hai jo virus zad mein aagaye hain  aur osmaniya general Hospital dosray mareezon ke ilaaj ka zimma daari bardasht kar raha hai. Gandhi Hospital mein zair-e-tarbiyat PG medical talba ko bohat saari pareshaniyon ka saamna karna pada hai. Covid mareezon ke ilaaj ke liye tamam mehakmon ke PG talba ki khidmaat ka istemaal kiya ja raha hai. Haal hi mein junior doctoron ne wazeer sehat Eatala rajendar  se mulaqaat ki hai aur inhen unki pareshaniyon se aagah kiya hai.

Wazeer ne unki pareshaniyon ka jawab dete hue Gandhi Hospital ko aam tibbi khidmaat dobarah shuru karne ka hukum diya. Darin-asna , azlaa mein coronavirus ke mareezon ki tadaad badh rahi hai aur GHMC ki hudood mein bhi mareezon ki tadaad mein izafah ho raha hai. mazeed yeh ke log bazahir ahteyati tadabeer ikhtiyar nahi kar rahay hain. un halaat mein agar covid ke mamlaat mein izafah hota hai to kuch tibbi hukkaam khadshaat ka bhi izhaar kar rahay hain.

Ijlaas  may kaha gaya ke sarkari dawakhana mein mamool ki tibbi aur sehat ki khidmaat ko dobarah shuru karne ke alawa kuch bed aur emaratein covid mareezon ke ilaaj ke liye khusoosi tor par mukhtas ki jayen. Dr Raja rao ne kaha hai ke 1st decemeber se Gandhi Hospital mein deegar bimarion ke ilaaj ki bahaali ke liye koshishen jari hain.