Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsGaaye ko dhoka day kar doodh ki pedawar badhaane ka tajurbah kamyaab

Gaaye ko dhoka day kar doodh ki pedawar badhaane ka tajurbah kamyaab

Moscow: Aam tor par virtual reality ( V R ) headset ko insanon zehni tanao ( Depression ) ko kam karne ke liye madadgaar samgha jata hai, Taham Roos mein is technology ka istemaal karte hue janwaroun ko bhi zehni tanao se bachanay ka kaam kiya ja raha hai. Roosi hukoomat ne ek aisay mansoobay ka aaghaz kiya hai jis ke zariye Gaaye ko zehni tanao se bachanay sameit is ke doodh ki pedawar bhi badhai ja sakay gi. Roos ki wizarat zaraat-o-khoraak ki janib se mulk bhar ki Gaaye ko zehni tanao se bachanay ke liye darul hukomat Moscow ke qareeb ek farm mein ek naye tajribati mansoobay ka aaghaz kiya gaya hai jis ke ibtidayi nataij tawaquaat se ziyada behtar niklay hain.

Wizarat zaraat-o-khoraak ki janib se jari bayan mein kaha gaya ke Moscow ke qareeb  RusMoloko farm mein’ Gaaye ko zehni tanao se bachanay ke liye V R Headset pahnaye jaaane ke tawaquaat se ziyada fawaid haasil hue hain aur unke doodh ki pedawar behtar hui hai.

Bayan ke mutabiq V R headset mein Gaaye ko khayaali haryali aur intahi Khushgawar nazare dukhaay jatay hain aur wo khayaal karti hain ke wo apne pasandeeda mahol mein char rahi hain. Bayan mein bataya gaya ke V R headset ke zariye Gaaye ko khayaali chragahin dekhnay ko millti hain jis wajah se unke doodh ki pedawar pehlay se behtar hui hai. Daawa kiya gaya ke tajribati programme ke nataij intahi achay rahay hain aur mazkoorah mansoobay ko mulk ke deegar ilaaqoun tak wusat di jaye gi.

Khayaal kiya ja raha hai ke agar Roosi mahireen ka ye mansoobah kamyaab ho gaya to duniya bhar mai khaas tor par Europi mumulk mein is mansoobay ko istemaal karkay Gaaye ke doodh ki pedawar badhai jaye gi. Roos ke ilawa Europe mein Germany, Netherland, Switzerland aur France mein bhi Gaaye ki bohat badi tadaad mojood hai. Duniya mein sab se ziyada Gaaye Brazil mein payi jati hain jahan duniya bhar mein mojood gayoun ka 14 feesad hissa paaya jata hai, Is ke baad tarteeb waar China, Hindustan, America, Ethiopia, Argentina, Sudan aur Pakistan mein Gaaye ki tadaad ziyada hai. Aam tor par Hindustan sameit deegar mumulk mein Gaaye ke doodh ki pedawar badhaane ke liye injunction ka istemaal kiya jata hai, Taham ab Roosi mahireen is kaam ke liye Gaaye ko Vertual Reality ke zariye dhoka day kar un ke doodh ki pedawar badha rahay hain. – YTN STAFF