Monday, April 21, 2025
HomeSliderG7 Ijlasoun mein Kashmir Trump ke agenda mein shaamil

G7 Ijlasoun mein Kashmir Trump ke agenda mein shaamil

Washington: America ke sadar Donald Trump G 7 chouti conference ke douran aalmi qaideen ke sath 2 Tarfah mulaqaton mein masla-e-Kashmir , Europe ko roosi gas ki farahmi aur Venezuela sameit kayi ahem masail par guftagu karenge. France mein 24 taa 26 august ke darmiyan G7 chouti conference munaqqid ho rahi hai.

Amrici intizamia ke senior ohdedar nay kaha ke Trump hindustani Wazeer-e-Azam Narendra Modi , Germany ki chancellor Angelia  marcle , France ke sadar Emanuel macron, Bartanwi Wazeer-e-Azam Boris johnson, Japan ke Wazeer-e-Azam Shinzō Abe aur Canada ke Wazeer-e-Azam justin trudeau ke sath do Tarfah mulaaqaaten karenge.

Trump G7 ke ijlaas mein Kashmir par kasheedgi ko kam karne ke liye Modi  ki mansoobah bandi ke mutaliq sunna chahtay hain. dono leader tijarat ke mamlaat par bhi baat cheet karen ge, kyunkay America Hindustan ko Amrici ashya aur khidmaat ke liye apna bazaar kholnay ke liye draamdat fees kam karna chahta hai.

Trump aur macron ke darmiyan G7 conference se alag roosi qudrati gas farahmi par Europe ke inhisaar par baat cheet mutawaqqa hai. woh ( Trump aur macron ) tawanai tahaffuz aur roosi gas zaraye par Europi inhisaar ko kam karne ki ahmiyat par bhi tabadlah khayaal karenge. Trump aur johnson Bartania ke Europi union se bahar nikalne aur dono mumalik ke darmiyan do Tarfah tijarat par bhi baat cheet ka imkaan hai. Trump aur Trudeau ke darmiyan Venezuela ke sadar Nicolas Maduro ki hukoomat par badhtay dabao aur Hongkong ki sorat-e-haal par tabadlah khayaal mutawaqqa hai. aindah G7 chouthi conference ke douran aalmi leader roos ko ji8 mein dobarah laane ke liye baat kar sakte hain.

White house national economic council ke director nay kaha ke America ke sadar Donald Trump ki darkhwast ke baad G7 summit mein maeeshat aur tijarat ke silsilay mein sarkari tor par tabadlah khayaal kiya jayega. Unhoun nay kaha sadar Trump ki darkhwast ke baad summit mein maeeshat aur tijarat par ek session kiya jayega. Trump ki darkhwast se pehlay agarchay yeh masail shaamil nahi they. ab sarkari tor par maeeshat aur tijarat ke silsilay mein hafta ko session ka ineqad kya jayega. Europe mein bhi iqtisadiat naazuk hai, Japan aur china ki maeeshat bhi kamzor hui hai. hamein lagta hai ke ab iqtisadi taraqqi, khushhali ko farogh dainay aur tijarti ruukawaton ko kam karne neez currencies ko mustahkam karne ke tareeqon ke liye hamein saathi mumalik ke sath guftagu karni chahiye.

Wazeh ray hai ke G7 ki salana summit 24 taa 26 august France mein munaqqid ho rahi hai. –YTN STAFF