Sunday, April 28, 2024
HomeLatest NewsG-Mail ke 15 saal, sarfeen ko aik sahoolat

G-Mail ke 15 saal, sarfeen ko aik sahoolat

Hyderabad:  Google ki janib se Gmail ke 15 baras mukammal honey par sarefeen ko aik nayee  sahoolat faraham ki gayi hai. Yakum April 2004 ko Google ney apni Email khidmaat Gmail ko muta-arif karwaya tha aur ab Gmail ke 15 saal mukammal hogaye hain jo is company kamiyaab tareen Products mein se aik hai, jis ke mahana sarfeen ki tadaad daidh arab se tajawaz kar chuki hai.

Gmail ki 15 win saalgirah ke mauqa par Google ney is Email Service mein is feature (Nayee sahoolat) ko muta-arif karwaya jis ka intzaar sarfeen barson se kar rahay hain. Aik Feature tu smart Compose ko mazeed behtar bananay ke hawalay se hai jois Email khidmaat ko Sarif ke andaaz tehreer ke mutabiq Email tehreer karne mein madad dey ga.

Taham Google ney is feature ki ziyada tafseelaat bayan nahi kee lekin kaha kay Smart Compose makhsoos afraad ko rawana ki janey walay Email ki tehreer ke andaaz ko yaad rakhay ga lekin sab se ahem sahoolat Gmail mein pheli martaba Schedul Email ki sahoolat dena hai. Is maqsad ke liye Send Button ke agay aik arrow hoga jis par Click karne par Email ko makhsoos waqt ke liye paband karna mumkin hoga. Abhi Gmail mein third party Apps ki madad se schedule Email karna mumkin hai lekin Google ki janib se barah e raast yeh sahoolat faraham karna yaqeenan ziyada behtar hoga.- YTN STAFF