London : Aam Khayal hai fruits ke mashrobat sahet ke liye mufeed hotay hain aur khaas kar bimaroon ko jald sahet yab honay ke liye hum mein aksar inhen fruits ke mashrobat hi dete hain lekin shayad ab hamein apni is soch ko badalna padega. ek nai tahaqeeq ke mutabiq mewa ke mashrobat ( fruit juice ) ka istemaal aap ki sahet aur mumkina tor par qabal az waqt mout ke liye itnay hi muzir hain jitna ke cola peena khatarnaak hai. ek nai tahaqeeq se zahir hota hai ke badi tadaad mein meethay mashrobat peenay walay afraad mein kisi bhi wajah se qabal az waqt mout ke khadshaat badh jatay hain.
Amrici tehqeeqi mahireen nay pehli baar mewa ke mashrobat aur sugar se meethay kiye gaye mashrobat maslan cola ka mawazna kiya hai. woh is nateejay par pahunche hain ke mewa ke mashrobat aur shukar se meethay kiye gaye mashrobat dono mein qabal az waqt mout ke khadshaat mushtarqa hain halaanke unka kehna hai ke hatmi nateeja akhaz karne se qabal mazeed tahaqeeq ki zaroorat hai. ek Bartanwi maahir nay tahaqeeq aur mutalea ko nihayat ahem qarar diya hai taham kaha ke 150 ml glass mewa ke mashrobat youmiya istemaal se sahet ko kisi qisam ke khadshaat ka samnanhin hai. nai tahaqeeq journal of the general american medical of association ( JAME ) mein shaya hui hai. tehqeeqi mutalay mein 13440 afraad ke adad wo shumaar ka tajzia kiya gaya hai. riwayati tor par tehqeeqi mutalay mein 8.4 feesad afrad ne bataya ke woh apne badan ko darker calories rozana shukar se meethay kiye gaye mashrobat se haasil karte hain. –YTN STAFF