Tuesday, July 8, 2025
HomeWorldFrench President ka Muslims ko mukammal mazhabi azadi dainay ka elaan

French President ka Muslims ko mukammal mazhabi azadi dainay ka elaan

Macron ki islam ke bare mein pur-israar guftagu par chay-megoyaan

French President Emmanuel Macron ne pirke roz parliment se khitaab mein islam ke hawala se aik pur-israr bayan diya jis par siyasi halqon mein miley jalay tabsaray jari hain. unhon ne yaqeen dilaya ke woh malik mein Muslims mazhabi azadi ke liye qanoon saazi karen ge. French President ne maghribi Paris mein’ Versailles ke maqam par parliment ke ijlaas se khitaab mein kaha ke’ islam aur jamhooria France ke darmiyan paicheedgi ka koi sabab hargiz nahi hai ‘. unhon ne mazeed kaha ke woh khizaa ke parlimani season mein France mein Muslims ke umoor ko mazeed sahal bananay ke liye naye qawaid waza karen ge. un ka kehna tha ke hum Muslims ko –apne malik mein apne mazhab ke mutabiq zindaganian basar karne ke liye mazeed saholaten muhayya karen ge aur inhen har mumkin azadi faraham karen ge taakay woh –apne mazhabi umoor ko kisi rukawat ke baghair ada kar saken. President Emmanuel Macron ke is bayan par ewaan mein taliyan bajai gayeen. unhon ne mazeed kaha ke islam aur jamhooria France ke darmiyan taluqaat mein kisi qisam ki paicheedgi nahi honi chahiye. islam ke baray mein sakht geer soch hamein tashkeek aur riyasti qawaneen ko mazhabi azadi mukhalif qanoon saazi ki taraf nahi le ja satke. un ka kehna tha ke France mein logon ko samaji aur mazhabi azadi hai aur malik ko kisi khaas mazhabi tabqa ki alamat banana insani aur mazhabi azadi ke manafi hai. khayaal rahay ke France mein agarchay abadi ki aksariyat esaiyat par mushtamil hai magar malik mein Muslims ki tadaad saath laakh se zayd aur msajd ki tadaad 2500 batayi jati hai.