Friday, May 17, 2024
HomeSliderFrench Open ka Blockbuster Final, Nadal ka Djokovic se muqaabla

French Open ka Blockbuster Final, Nadal ka Djokovic se muqaabla

Paris: Tennis ke junooni shaiqeen ko jis Final ka be sabri se intezaar tha woh itwaar ko French Open ki shakal mein aalmi Number ek Novak Djokovic aur Clay Court ke be taaj badshah aur difai Champion Rafael Nadal ke darmiyan hoga.

Novak Djokovic ne Semifinal mein yonani Star Stefanos Tsitsipas ke khilaaf Dramayi 5 sets mein kamyabi haasil karne ke baad Blockbuster French Open Final ko yakeeni banadiya hai. Aalmi number ek Djokovic jo 2016 ki Champion hain woh Roland Garros mein apne panchwin Final mein pahonch gaye hain. Unhoun ne Semifinal mein panchwin set Susceptibility ko 6-3, 6-2, 5-7, 4-6, 6-1 se shikast di. Jahan unhoun ne teesray set mein Match Point haasil kiya tha.

Doosri janib 12 martaba ki Champion Nadal ne Diego Schwartzman ko 6-3, 6-3, 7-6 ( 7 / 0 ) se shikast day kar Tournament mein 13 wahn Final apne naam karliya. Etwar ko Djokovic 18 wi Grand Slam jeet satke hain jis ke zareya woh nisf sadi mein charon Grand Slam 2 baar jeetnay walay pehlay khiladi ka aizaz haasil karlen ge.

Doosri janib Nadal aalmi number 2 Roger Federer ke 20 Grand Slam khitabat jeetnay ke hama waqti Record ki barabary kar satke hain. Djokovic sirf 2 khiladion mein se ek hai jis ne 15 saal mein Roland Gers mein Nadal ko shikast di. Itwaar ko dono ke darmiyan yeh 56 wahn muqaabla hoga.

Final ke mutaliq izhaar khayaal karte hue Djokovic ne kaha ke yeh Rafael ka ghar hai mujhe jeetnay ki targheeb hogi, Mein ne inhen yahan 2015 mein shikast di lekin Clay Court par Nadal ko shikast dena yeh sab se bada Challenge hoga.

Djokovic ne Semifinal mein shandaar muzahira karne walay hareef khiladi Stefanos Tsitsipas ki jo sirf doosri martaba Grand Slam ke Semifinal mein khail rahay thay. Djokovic ke bamujab Stefanos Tsitsipas ek bohat baday khiladi hain lekin 4 ghantay baad woh thak gaye. Is ne mujhe bohat sakht muqablay diya.

Djokovic ne Semifinal mein Stefanos Tsitsipas par 5-1 Career ki bartari haasil ki aur muqablay ke douran gardan aur kandhay ki takleef ki pareshani ka izhaar nahi kiya jis se inhen guzashta muqablay mein pareshani hui thi.