Tuesday, May 14, 2024
HomeLatest NewsFrance mein Coronavirus ka nateeja chand Second mein maloom kiya jaaane laga

France mein Coronavirus ka nateeja chand Second mein maloom kiya jaaane laga

Paris: Coronavirus se ladnay aur is par qaboo panay ke liye jahan duniya bhar mein vaccine ki tayari par zor o shoor se kaam jari hai wahein test karne aur virus ko mazeed phelnay se roknay ke liye bhi iqdamaat kiye jarahay hain, Jin mein France mein nai Machine tajribati istemaal aur Belgium mein Mask ko laazmi qarar dena shaamil hai.

Khabar rasan idaray ke mutabiq France ke shehar Lyon ke ek dawakhana mein coronavirus ke mushtaba mareezoun ko ek nai machine se test kiya ja raha hai jis mein mareez ek Tube mein saans letay hain phir kuch second mein pata lag jata hai ke inhen Covid-19 hai ya nahi.

Machine ko 3 mahino se tajribati tor par mareezoun ke test ke liye istemaal kiya ja raha hai. Jin mein se 20 ko coronavirus tha jabkay dosaroun ko nahi tha. Coronavirus ka aam tor par honay wala PCR test mareez ke liye dushwari ka baais bantaa hai aur is ka nateeja bhi fori nahi aata. la Croix-Rousse hospital ke National Center Of Scientific Research ke Director Christian George ney kaha hai ke Machine mein saans ke salmay jatay hain jis se virus ke honay ya nah honay ka pata chalta hai.

Dawakhane ke intahi nighdasht unit ke sarbarah Jean-Christophe Richard ne kaha hai ke is qisam ke asri maaynoun se hamein nataij fori maloom ho jaien ge aur hamein faisla karne mein aasani hogi ke mareez ko dawakhane ke kis hissay mein rakhna hai. Jitni jaldi tashkiz hogi itna jaldi hum ilaaj kar saken ge.

Doosri janib Belgium mein hukoomat ne qawaneen sakht karte hue khuli markiton aur Shopping ki deegar jaghoun par Mask pehnana laazmi qarar day diya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq Belgium ki Wazeer e Azam Sophie Wilmès ne pabandioun par narmi nah laane ka faisla karte hue ehkamaat jari ke ye hain ke awaami wali jaghoun par Mask pehnana laazmi hoga.

Belgium mein jab se lockdown mein narmi layi gayi hai tab se Coronavirus ke mamlaat mein izafah dekhnay mein aaraha hai. Dukanoun, Cinema gharoun, Ajaaeb ghar aur ibadat gaahoun mein pehlay hi se Mask pehnana laazmi tha aur shehrioun ko samaji doori ka paband rehne ka kaha gaya tha. Wazeer e Azam ka maanna hai ke kal kisi qisam ke nuqsaan par afsos karne se behtar hai ke aaj zurori iqdamaat par amal kar liya jaye.

Duniya bhar mein Coronavirus se mutasir honay walay afraad ki tadaad 1 crore, 52 lakh, 65 hazaar taq poanch gayi hai, Jabkay ab tak is waba mein 6 lakh 24 hazaar 213 amwaat hochuki hain. Corona se sab se ziyada mutasir mumalik mein America sare fehrist hai jahan mutasireen ki tadaad 39 lakh 72 hazaar 162 hai. Dosray number par Brazil hai jahan ab tak mutasir honay walay afraad ki tadaad 22 lakh 27 hazaar 514 hai. Hindostan sab se ziyada mutasir honay walay mumalik mein teesray number par hai jahan coronavirus se ab tak 12 lakh 38 hazaar 798 afraad matuser hujuke hai.