Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderFrance ke sabiq Footballer Evra quran ke mutalea mein masroof, Islam qubool...

France ke sabiq Footballer Evra quran ke mutalea mein masroof, Islam qubool karne ka imkaan

Paris : France se taaluq rakhnay walay sabiq Footballer Patrice Evra islam ke mutarrif hain aur woh in dinoun quran hakeem ka mutalea kar rahein aur umeed ki jarahi hai ke shayad woh jald hi islam qubool karne ka elaan kar dein kyunkay woh islam ki tareef karne ke alawa duniya mein honay wali nasal parasti ki mukhalfat bhi ki hai.

Apne haliya interview mein Manchester United ke sabiq khiladi ne kaha tha ke unki parwarish batore catholic hui lekin woh phir bhi islam aur is ke paighamaat ko sarahte hain. unhon ne kaha ke woh is se qabal bhi islam ki tareef kar chukay hain lekin is ki wajah se unke waalid barham hogaye they. unhon ne kaha ke islam bohat khobsorat mazhab hai. Patrice Evra ne mazeed kaha kay jab mere waalid ko is baat ka ilm hua to woh mujh se naraaz hogaye they, woh ek catholic hain lekin phir bhi mein ne islam ke baare mein aisa kaha.

Francesi Footballer ne kaha ke mein apne aqaed ke liye apne waalid, maa aur doston ke khilaaf jasakta hon. apne interview mein unhon ne nasal parasti ki mazammat karte hue kaha ke is ravayye ki duniya mein koi jagah nahi hai. unhon ne mazeed kaha ke mein khush hon ke football ka khel duniya se nasal parasti khatam karne mein madad day raha hai taham iske khatmay ke liye bohat kuch karne ki zaroorat hai. Patrice Evra ne tajweez di ke logon ko apne bachon ko sikhana chahiye ke woh nasal parast nah banein, agar ek bachay ke walidain hi nasal parast hon to woh bada hokar aisa kyun nahi banega? yeh pehla mauqa nahi jab Evra ne islam ki tareef ki ho, is se qabal jab Barcelona mein dehshat gard hamla hua tha is waqt jab logon ne islam par tanqeed karna shuru ki to Evra is mauqa par samnay aaye, islam ki tareef ki aur usay ek behtareen mazhab ke tor par pesh kiya.

Is douran unhon ne yeh bhi kaha tha ke woh quran ko padh rahay hain aur usay samajhnay ki koshish bhi kar rahay hain. Patrice Evra ne kaha ke mein dobarah kehta hon ke islam ek khobsorat mazhab hai, yeh aman wo salamti aur ek dosray ki madad karne se mutaliq hai. unhon ne mazeed kaha ke hamein khud ko sirf media ko padhnay se roknay ki zaroorat hai, khuda ne hamein ek dosray ko qatal karne ke liye paeda nahi kiya, hamein tamam mazahab ki izzat karni chahiye. francesi Footballer ke mutabiq agar aap kisi ek mazhab se khauf zada hain to is se khaufzadah rehne ke bajaye usay samajhnay ki koshish karen aur koi bhi faisla karne se pehlay is ke baare mein achi tarhan zaroor jaanen.

Apni guftagu ke ekhtataam par unhon ne kaha ke mein jaanta hon ke yeh meri raye hai aur is duniya ko achay alfaaz se ziyada achay iqdamaat ki zaroorat hai. wazeh rahay ke Evra ka talluq ek isaai gharane se hai aur woh Africa ke musalman mulk sinigal mein paeda hue. unke waalid sinigal ke safeer they, jab Evra chotey they to unke waalid bator safeer brazil mein tainaat rahay jiske baad woh mustaqil tor par France muntaqil hogaye. Evra ek professional Footballer hain jo France ki janib se 81 bain ul aqwami matches mein shirkat kar chuke hain. is ke alawa woh naamwar football club manchester united aur Juventus ka bhi hissa rahay. –YTN STAFF