Wednesday, May 15, 2024
HomeTrending NewsFrance ka Iran ko Lebanon mein mudakhilat band kare

France ka Iran ko Lebanon mein mudakhilat band kare

Beirut: France ke sadar Emmanuel Macron nay Iran ko Lebanon mein har qisam ki mudakhilat ke khilaaf khabardaar kiya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq sadar Emmanuel nay Irani sadar Hussan Rohani ke sath Telephone raabtey mein Lebanon ke halaat par tabadlah khayaal karte hue Lebanon mein mudakhilat se guraiz karne aur aisi hukoomat ki himayat karne ko kaha jo emergency ki soorat par qaboo panay ke qabil ho.

Francesi ewaane sadar ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke sadar Emmanuel ny apne Irani hum mansab se baat cheet ke douran zor diya ke tamam taqaton ko Lebanon ke androoni mamlaat mein mudakhilat se guraiz karne ki zaroorat hai. Unhoun ny Irani sadar Hussain Rohani se Lebanon mein ban’nay wali aisi hukoomat ki himayat karne ko kaha jo mulk ko mojooda bohraan aur hungami sorat-e-haal se nikaal sakay.

Lebanon ke dar-ul-hakoomat Beirut mein 4 August ko hue dhamako ke baad siyasi bohraan peda ho gaya hai. Mulk bhar mein jari hukoomat mukhalif muzahiron ne wazeer-e-azam Hassan Diab aur un ki kabeena ko mustafi honay par majaboor kar diya jis ke baad Lebanon ke sadar ne filhaal wazeer-e-azam ke ohday ke liye kisi mutabadil rehnuma ko naamzad nahi kiya hai.

Lebanon ke shehrion ka Bierut ki bandargaah par hue dhmakon ke zimma daraan ka ehatasab aur bad unwaan nizaam tabdeel karne ka mutalba hai. Iran Malaysia group Hezbollah ke zariye Lebanon mein be intahaa asro rasookh rakhta hai. Hassan Diab ki mustafi honay wali hukoomat mein Hezbollah ki mazboot numaindagi thi jabkay Lebanon ke sadar Michel Aoun ki siyasi jamaat ke sath Hezbollah ka ittehaad barqarar hai.

Dhmakon ke baad Francesi sadar Emmanuel Beirut ka dora karne walay pehlay aalmi rehnuma banay. Beirut ki imdaad ke liye Vertical Conference France aur aqwam mutahidda ke zair-e-ahtemam munaqqid hui thi jis ki sadarat Emmanuel ne ki thi. Is conference ke tehat mukhtalif mulkon ne Lebanon ko hungami imdaad ke tor par 25 crore 20 lakh Euro ki imdaad dainay ka wada kiya hai.