Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderFrance church par hamlay ke baad nai giraftari, security sakht kar di...

France church par hamlay ke baad nai giraftari, security sakht kar di gayi

Paris: Francesi church mein teen afraad ko halaak karne walay shakhs ke beheemana hamlay ki tehqiqaat mein jummay ko aik naya mushtaba shakhs ko hirasat mein liya gaya hai, Paighambar e islam Sws. ke gustakhana cartoon ki wajah se mazhabi aur geographiyai siyasi kasheedgi ke douran France ne apni security ko barhadiya hai. Ek adalti ohdedar ke mutabiq mushtaba giraftaar shuda fard 47 sala shakhs hai jis ke baray mein khayaal kiya jata hai ke woh Nice ke shehar Riviera mein Notre Dame Basilica par hamlay se aik raat qabal hamla aawar se rabita mein tha. ohdedar ne kaha hai ke is shaks ka awaami tor par naam batanay ka ikhtiyar nahi hai.

Hakkaam ne kaha hai ke hamla aawar Ibrahim Issaoui ko police ne shadeed zakhmi kiya hai aur woh zindagi aur mout ki haalat mein dawakhana mein daakhil kiya gaya hai. France aur Tunisia mein insidaad e dehshat gardi ke wakeel istighasa tehqiqaat kar rahay hain. jummay ke roz Saudi arab ke zair malkiat TV ke sath Nashar kiye gaye aik interview mein Issaoui ki walida ne kaha ke woh waqeat se heran hain. Tunisia ke soobah Sfax se walida ne jab interview diya to un ki ankhen num theen. unhon ne kaha ke jab woh apne betay ko France puhanche ki khabar suni to woh is khabar se herat zada thi jab unhon ne betay se wapsi ki baat ki to unhein andaza nahi tha ke woh kya mansoobah bana rahay hain .

Walida ne mazeed kaha ke jab un ke betay se phone par baat hui to unhon ne betay se kaha tha ke aap ko Francesi zabaan nahi aati, aap wahan kisi ko nahi jantay, aap wahan akailey hi rehne walay hain, kyun, aap wahan kyun gaye. is ke bhai ne media ko bataya ke Issaoui ne ghar walon ko aagah kiya tha ke woh church ke samnay soye ga aur inhen ek tasweer bhaije jis mein is cathedral mein dekhaya gaya tha jahan yeh hamla hwa tha. Unhon ne kaha is ne mujhe kuch nahi bataya. ek hamsaaya ne kaha ke woh hamla aawar ko is waqt se jaanta tha jab who mechanic tha aur is ne bunyaad parasti ke assaar zahir nahi kiye thay.

France ke insidaad e dehshat gardi ke prosecutor ne kaha ke mulzim aik Tunisian hai jo 1999 mein peda hwa tha, jo 20 September ko shumali Africa se kashtiyon mein guzarnay walay tarkin watan ke sath Italy ke jazeeray Bari pouncha tha .