Hyderabad. Hyderabad Police ney Congress leader o sabiq Rukn e Assembly T Jaya Prakash Reddy @ Jagga Reddy ko peer ke din dhoka dahi karte hue Passport haasil karne ke ziman mein darj aik muqadama mein giraftar kar liya. Police zaraye ney kaha ke Jagga Reddy ko hirasat mein le liya gaya aur un se pooch gach ki jarahi hai. Iss case ki tehqeeq se juday aik Police ohdedar ney bataya ke hamein it-tila-aat mili hain ke Jagga Reddy ney apni ahliya, beti aur betay ke naam par haasil kardah Passports par teen logon ko America bheja hai. Police ohdedaar ne yaad dilaya ke 14 baras qabal uss waqt ke Arkaan e Assembly Soyam Bapu Rao aur Kasipetta Lingaiah ko aisay hi ilzamaat mein girftar karliya tha. Police zaraye ke bamawajib Amrici hukoomat ke ohdedaron ke paas ghair majaz taur par Hindustan se emigration ka data maujood hai. Data ka tajzia karne par woh mutajub hogaye ke teen afraad farzi dastawizaat ki asaas par America mein daakhil honay mein kamyaab hogaye thae. Iss baat ka pata chalne par Hyderabad Commissioner ki Task Force ke ohdedaron ney Jagga Reddy ko hirasat mein letay hue kayi ghanton tak un se pooch gach ki. Maloom huwa ke Task Force ke ohdedaron ney chand dastawizaat miley jin se is baat ka ishara milta hai ke farzi dastawizaat paish karte hue Jagga Reddy ke arkaan khandan ke naamon par chand Passports haasil kiye gai. Tafteesh kunindgaan musaddiqa reports ki tauseeq kar rahay hain ke Jagga Reddy ke hamrah 2004 mein Jagga Reddy ke hamrah aik mard aur do khawateen ney America ka safar kya tha, taham yeh teen afraad America mein hi ruk gai aur Jagga Reddy Hyderabad wapas laut gay. Zaraye ney kaha ke Jagga Reddy ko un par aayed ilzamaat par North Zone Police Hyderabad ke hawala kardiya jaye ga. Rabt paida karne par DCP North Zone Ms. B. Sumati ney tauseeq ki ke sabiq Congress Government Whip ko hirasat mein le liya gaya hai. Unhon ney kaha ke Congress leader ney Passports ke husool aur America ka Visa haasil karne apne ohda ka najaayez faida uthaya. Ms Sumati ney kaha ke Jagga Reddy ke kisi bhi rukn e khandan ney Passport haasil nahi kya. Darin asnaa Sadar Telangana Pradesh Congress Committee Captain Uttam Kumar Reddy ney kaha ke woh aaj raat Director General of Police Mr. M. Mahinder Reddy se mulaqaat karen ge.