Dubai: Kehte hain ke mujrim chahay kitna bhi shater kyun nah ho kuch nah kuch suraagh chhodta hai jis ki wajah se is tak rasai aasaan hojati hai aur aisa hi ek asiayi bawarchi ke sath huwa jis neh apne maalik Footballer ke ghar qeemti ashya ki sarqa ki. Bawarchi neh Emirate ke qaumi footballer ke ghar sarqa jisme do ghadiyaan aur ek kada (Bracelet ) chori kiya jis ke baad masroqa ashya ki qeemat ka takhmeenah 7 lakh Dirham lagaya gaya. Ibtida mein mulzim bawarchi neh ilzaam qubool karne se inkaar kiya liken baad azan jurm qubool karte hue kaha ke is neh ghar mein mojood chuuti si tijori sarqa ki thi.
Jis mein qeemti ashya mehfooz theen. Bawarchi nay tijori kholnay ki koshish ki lekin jab usay is koshish mein kamyabi nahi mili to is nay is tijori ko kachray daan mein daal diya. Bawarchi ke is jurm par muqami adalat nay mulzim ko 6 mah ki qaid ki saza sunanay ke ilawa 6.5 lakh Dirham ka jurmana aur mulk se bedakhil karne ka elaan kiya hai. Football khiladi nay sarqa ki tafseelaat batatay hue kaha ke achanak is ki kayi qeemti ashya gayab hogai. Do ghadiyan jo kaafi qeemti theen un mein ek ghadi ki qeemat 4.20 lakh Dirham ki thi. Is ke ilawa ek kada ( Bracelet ) bhi gayab hai jo kapdon ki almaari mein chuute tijori mein rakha huwa tha.
Khiladi ney chori ka shuba bawarchi par zahir kiya kyunke Bedroom mein barochi ke ilawa kisi ko daakhil honay ki ijazat nahi thi. Khiladi ke bamujab is ney apne bawarchi se kaha kay agar wo tijori aur is mein mojood samaan wapas karde tu is ke khilaaf shikayat darj nahi ki jaye gi. Is sahoolat ke baad bawarchi ney mohlat mangi lekin tijori wapas ki aur nah hi samaan ka koi suraagh bata raha tha. Koshish ke baad bhi koi nateeja haasil nahi ho raha tha lekin baad mein pata chala ke mulzim ke Finger Print aur tijori ki jagah se haasil kiye jaanay walay Record mein yaksaniyat thi. Un saboton ke baad is nay iqbal jurm karne ke ilawa ashya ka pata bhi batadiya.