Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadFoot boarding ki rok thaam ke liye commissionaire police Mahesh Bhagwat ka...

Foot boarding ki rok thaam ke liye commissionaire police Mahesh Bhagwat ka achanak aur anokha iqdaam

Hyderabad : Buses mein foot boarding ka safar awam ke liye hamesha hi khatarnaak saabit hota hai jis ke insidaad ke liye police aur RTO ke hukkaam koshish karte hain lekin aaj ek aisa anokha manzar dekhnay ko mila jis ki maazi mein misaal nahi millti.

Foot boarding ke nateeja mein honay walay khatarnaak hadsaat ki rok thaam ke naye iqdaam ke tour par commissionaire police Rachakonda Mahesh Bhagwat, LB nagar choraha par pur hujhoom bus mein chadh gaye jis se bus musafireen haerat zada hogaye.

Unhon ne foot boarding karne walay talba aur deegar musafireen ki nishandahi ki aur unko bus se neechay utaar diya. baad azan unhon ne un afraad ki counselling ki aur bus driver ko mashwara diya ke woh talba aur deegar ko foot boarding ki ijazat na den.

commissionaire ne nojawanoun ko samajhate hue kaha ke foot boarding ke nateeja mein kayi khatarnaak hadsaat peish aachukay hain jis mein kayi afraad ne apni jaanen bhi gavayi hain lehaza is tarhan ka safar kabhi mehfooz safar nahi hosakta. mustaqbil mein aisay hadsaat ki rok thaam zurori hai.

Awam Bashmole talba aur mukhtalif afraad ne commissionaire police ke is qadam ki sataish ki. is mauqa par commissionaire police ne kaha ke kayi aisay waqeat paish aachukay hain jis mein foot boarding karne walay noujawan bilkhushoos college janay walay talba Ibrahimpatnam mein zakhmi hue hain.

Bus mein munasib jagah dastyab honay ke bawajood talba, bus ki seedihyoun par tehar kar foot boarding karte hain jo unke liye khatarnaak hai kyunkay woh chalti bus se gir sakte hain. isi liye unki counseling ki gayi.

Rachakonda traffic police ne LB nagar taa Ibrahimpatnam ke mukhtalif ilaqoun ki nishandahi ki jahan foot boarding ki jati hai aur hadsaat ki wajah bantay hain. –YTN STAFF