Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsFiroun Ke Khasta Haal Sone Ke Taboot Ki Marammat

Firoun Ke Khasta Haal Sone Ke Taboot Ki Marammat

Qahira : Misr ke Firoun ke 18th nasal se taaluq rakhnay walay aur Misr par hukmarani karne walay kam Umar tareen Firoun Tutankhamun ke khasta-e-haal sone ke taboot ki dobarah murammat ka kaam shuru kardiya gaya. Tutankhamun ke sone ke taboot ki dobarah marammat ka kaam ek aisay waqt mein shuru kiya gaya hai jab ke 2 haftay qabal hi unke dhadka pathar ka bana mujasma London mein record qeemat par farokht kiya gaya tha.

Tutankhamun ke dhadke mujasmay ko London ke cristise auction house ne nelaam kiya tha, taham Misri hukoomat ne iski farokht ko ghair qanooni qaraar diya aur Interpol se mujasma wapas Misr ke hawalay karne mein kirdaar ada karne ki darkhwast ki. Tafseelaat ke mutabiq Tutankhamun ka yeh toota hua mujasma 1970 mein chori karkay ghair qanooni tor par London muntaqil kiya gaya aur iski nilami bhi ghair qanooni tor par ki gayi, taham auction house ne Misri hukoomat ke tamam ilzamaat ko mustard kardiya tha.

Tutankhamun ke nisf mujasmay ki farokht ke baad ab unke khasta haal taboot ki bahaali ka kaam shuru kardiya gaya hai aur Misri hukkaam ke mutabiq kam Umar Firoun ka taboot ki bahaali ka kaam aindah 8 mah mein mukammal karliya jayega. Misri ke mehakma nawadiraat wo Saqafat ne Tutankhamun ka sone se bana taboot unke maqbare se nikaal kar naye azeem Misri ajaaeb ghar mein muntaqil kardiya. Tutankhamun ka taboot intehai khasta haalat mein hai aur iske taboot se sone ki par tin utar chuki hain aur ab sone se nayaab cheeze bananay walay mahireen un ke taboot ki bahaali ka kaam shuru karenge.

Tutankhamun ka yeh taboot Misri hukoomat ki janib se banaye janay walay naye azeem Misri ajaaeb ghar mein rakha jayega, jisay aindah saal tak khole janay ka imkaan hai. yeh pehla mauqa hai ke Tutankhamun ka maqbarah daryaft honay ke baad wahan se koi cheez nikaal kar is ki bahaali ka kam shuru kiya gaya hai. Tutankhamun ka maqbarah pehli martaba 1922 mein angraiz maahir howard carter ne daryaft kiya tha, taham woh yeh maqbarah daryaft karne ke ek saal baad chal basey they. Bataya jata hai ke Howard carter Tutankhamun ke maqbare mein zahreeley macharoun ke kaatnay ke baad intehai bemaar honay ke baad mout ki neend sogya. yahi nahi balkay Tutankhamun ka maqbarah daryaft honay ke baad wahan kayi ahem shaksiaat ki pur israar halakatein bhi huien aur kuch log pur asaraar bimarioun ki wajah se bhi maqbarah dekhnay ke baad chal basey.

Guzashta chand dahoun mein Misri hukkaam ne intehai sakht hifazati intizamaa ke baad Tutankhamun ke maqbare par tehqiqati kaam shuru kiya aur ab unke maqbare se sone ka taboot khasta haalat mein nikaal kar iski bahaali par kaam shuru kardiya. Tutankhamun se mutaliq bataya jata hai ke woh Misr ke Firoun ke 18th khandan mein se tha aur woh intahi kam Umri mein Misr ke Firoun bana tha. totn khamn 1300 qabal maseeh ke baad Misr ke Firoun bana tha aur ziyada mahireen ka kehna hai ke woh 10 taa 12 saal ki Umar mein badshah bana tha. totn khamn 20 saal ki Umar se qabal hi chal basa tha aur khayaal kiya jata hai ke woh kisi jung mein shadeed zakhmi honay ke baad mout ki agosh mein gaya taham kuch mahireen kehte hain ke usay qatal kiya gaya tha . –YTN STAFF