Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadFinal revised electoral list publish karne ki ijazat

Final revised electoral list publish karne ki ijazat

Hyderabad- High Court Hyderabad ney aaj Election Commission of India ko final revised electoral list publish karne ki ijazat dae di hai. Electoral List publish na karne ke qabl azeen jari kardah hukum par amal aawri ko khatam karte hue nazar e sani shuda fehrist aayindah jummay ko publish karne ki ijazat dae di. Congress ke senior leader Mr. M Shashidhar Reddy ki aik darkhwast par Chief Justice Mr. T B. Radhakrishnan aur Justice Mr. S V Bhatt par mushtamil division bench ney Election Commission of India ko hidayat di ke electoral list mein paayi jaanay wali khamion ko door karne ke liye action plan tayyar kare aur halaf nama ki shakal mein adalat ke rubaroo paish kere. baad azan Chief Electoral Officer Mr. Rajat Kumar ney kaha ke nazar sani shuda fehrist raye dahindgaan jummay ko shaya kar di jaye gi. High Court ke bahar akhbaari numaindon se baat cheet karte hue darkhwast guzar Mr. Shashidhar Reddy ney masarrat ka izhaar karte hue usay jamhoriat ki fatah se tabeer kya aur kaha ke adalat ney hamari darkhwast ki hanoz yaksuvi nahi karte hue usay zair tasfia rakha hai magar aaj Election Commission ko hidayat jari ki ke woh adalat ko waaqif karwaye ke kis tarha Electoral List mein naamon ki shumoliat aur deletion kya ja raha hai. Unhon ney kaha ke hum chahtay hain ke intikhabaat mein umeedwaron ki namzdgyon ki aakhri tareekh tak id-daa jaat aur aatrazat daakhil karne ka mauqa diya jaye. unhon ney kaha ke claims aur objections par karwai adalat ki nigrani mein amal mein layi jaye aur har hafta adalat ko report paish ki jaye. unhon ney bataya ke hum ney aisi aisi khamion ki nishandahi ki hai ke Judges bhi muthair hogaye. Unhon ney bataya ke Election Commission ney jo software tayyar kya hai woh sirf paanch meyarat par bogus vote ki nishandahi karta hai jabkay hamari Technical Team 13 meyarat par voter ke haqeeqi honay ki parkh karte hain. Unhon ney kaha ke Voter Lists mein naamon ke indraaj ke liye claims aur objections infiradi taur par kiye jatay hain hum chahtay hain ke bulk mein id-daa jaat aur aatrazat ki gunjaish faraham ki jaye taakay waqt ki bhi bachat hosakay aur barray pemana par yeh kaam hosakay aur aik sahih fehrist raye dahindgaan tayyar hosakay.