Monday, May 20, 2024
HomeIndiaFilmi Shakshiyatein Aur Gautam Gambhir Modi Ko Mutasir Karne Mein Nakaam

Filmi Shakshiyatein Aur Gautam Gambhir Modi Ko Mutasir Karne Mein Nakaam

New Delhi : Hindustan ke lok sabha ke 17th  intikhabaat mein kamyabi ke baad BJP nay doosri miyad ke liye 30 May ko nai hukoomat tashkeel di hai lekin kabeena mein khail aur tafrehi duniya se talluq rakhnay walay aur khaas kar pehli martaba kamyabi haasil karte hue parliment mein rasai haasil karne walay kisi chehray ko koi wizarat nahi di gayi hai .

Is martaba bhi Narendra Modi wazeer-e-azam banay jab ke unki party ke sadar Amit Shah ko pehli martaba wazeer-e-dakhla banaya gaya hai. isi tarhan guzashta daur hukoomat ke ahem wuzra is martaba hukoomati nizaam mein shaamil hain jin mein sushma swaraj aur Arun jaitley jaisay wazeer shaamil nahi hain. Rajnath singh ko wazeer-e-difaa jab ke S Jaishankar ko wizarat-e-kharja ka qalamdaan diya gaya hai. Narendra  Modi ki hukoomat mein majmoi tor par 30 wifaqi wuzra, 24 mumkati wazeer aur 9 khud mukhtar mumalkati vaziron ko shaamil kiya gaya hai, imkaan hai ke mazeed kuch vaziron aur mumlikati vaziron ko shaamil kiya gaya jayega .

Isi tarhan kuch musheeron ko bhi kabeena mein shaamil kiye janay ka imkaan hai jab ke khud Wazeer-e-Azam Narendra  Modi nay bhi chand wazaraton ke qalamdaan apne paas rakhay hain. dilchasp baat yeh hai ke Narendra  Modi nay is martaba intikhabaat jeetnay wali 6 showbiz shakhsiyation aur ek cricketer Gautam Gambhir ko kabeena mein shaamil nahi kiya hai. pichli hukoomat mein bhi Narendra  Modi nay showbiz shaksiaat ko nazar andaaz kiya tha jab ke is martaba bhi Narendra  Modi nay sabiq kabeena mein shaamil TV adakara Smriti irani aur play back signer Babul Supreo ko hi shaamil kiya hai. is martaba majmoi tor BJP ki ticket par 8 showbiz shaksiaat lok sabha intikhabaat ke danghal mein utrein theen jin mein se sirf maazi ki maqbool adakara Jaya prada ko hi shikast hui .

BJP ke baqi tamam showbiz umeedwaron nay shandaar kamyabi haasil ki hai jab ke sabiq cricketer Gautam gambhir bhi BJP ki ticket par kamyaab hue hain. khayaal kiya ja raha tha ke is martaba Sunny deol , Hema Malini, kiran kher aur Gautam gambhi jaisay afraad ko kabeena mein shaamil kiya jayega, taham Narendra  Modi nay inhen mukammal tor par nazar andaaz kardiya .

Intikhabaat mein shandaar kamyabi ke baad kabeena mein shaamil nah kiye janay wali showbiz shaksiaat mein adakara Hema Malini, unke soutelay betay adakar Sunny deol, adakara kiran kher, Gulukar Hans raj, adakar Manoj tiwari aur adakar Ravi Kishan shaamil hain. jab ke BJP nay sabiq cricketer Gautam gambhir ko bhi nazar andaaz kardiya hai. is martaba bhi BJP hukoomat nay sabiq showbiz shaksiaat maazi ki maqbool adakara smriti irani aur gulukar Babul Supreo ko kabeena mein shaamil kiya hai. Smriti irani ko maazi ki tarhan khawateen ki Falah wo behbood jab ke babul supreo ko environment and climate change ki wizarat sompi gayi hai . –YTN STAFF