Thursday, July 10, 2025
HomeHyderabadFilm “Satyamev jayate” ke khilaaf Shia biradari ka ehtejaj

Film “Satyamev jayate” ke khilaaf Shia biradari ka ehtejaj

Dabirpura Police Station mein FIR darj. Shia amayedeen ki DCP South Zone se mulaqaat.

Hyderabad. John Abraham ki aanay wali film “Satyamev jayate”  mein Moharam ke maatam ke manazair ko intahi ghatiya andaaz mein paish karne aur Musalmanoun ke Mazhabi jazbaat ko bhadkane par Hyderabad Police ne filmsaaz company  Emmy Entertainment  aur Milap Milan Zaveri  aur deegar ke khilaaf  taazeerat e Hind ki defeat  295-A, 153A r/w 34 aur Cinimatography  Act ki dafaat  7(1) (a) ke tahet muqaddma darj karliya. Is khusoos mein Shia Biradari ke zaakreen o ulama o amayedeen par mushtamil ek  wafad ne Deputy Commissioner of Police Hyderabad Mr.V Satyanarayana se mulaqaat karte hue film mein paish kardah maatam ke manazair ko oochay aur ghatiya andaaz mein pesh karne par Shia Biradari ke jazbaat se waaqif karwatay hue kaha ke film ki Peshkash se Musalman khaas kar Ke Shia  Baradari ke Mazhabi jazbaat  majrooh hotey hain is liye woh chahtey hain ke film mein se Maatam ke manazir ko nikaal diya jaye chunkay un manazair ke baghair bhi film ko pesh kya ja sakta hai aur is se film ki asal kahani par koi farq nahi padta. DCP South Zone ne kaha ke aaj un se Shia Biradari ke mazhabi rehnuma mulaqaat kiye aur film se mutaliq un se shikayat kiye hain. unhon nay kaha ke purane shehar mein abadi ka bada hissa Shia  Biradari ka hai aur un ka ehsaas hai ke is film mein maatam se mutaliq pesh kiye gaye manazair se Shia Biradri ke mazhabi jazbaat ko theis pohunchi hai. Unhon nay kaha ke tehreeri shikayat ki mosuli par Dabirpura Police Station mein ek muqaddama darj karliya gaya hai. Syed Ali Jafferi Advocate ney is khusoos mein Police Station mein ek shikayat darj karwatay hue maatam ke manazair ke pas e manzar mein adakaar John Abraham ki janib se ek baheemana qatal karne ke manazir rakhay gaye hain aur is douraan ek mashhoor qawwali ” Tajdar e Haram” ka bhi wird kiya ja raha hai. Yeh qawwali  Paighambar e Islam pbuh. ki midhat mein hai. Is douran ek qatal ka manzer rakhna intehae na munasib hai. Unhon ney bataya ke yeh qawwali Paighambar e Islam Hazrat Mohammad pbuh. ki Shaan o Riffat bayaan karti hai jis ke pase manzar mein qatal jaise ghinauna jurm dikhaya gaya hai. Unhon ney apni shikayat mein yeh bhi kaha ke maloom huwa hai ke film ki shooting ke douran Mumbai ke muqami Shia logoun ney aiteraaz kya tha aur film ke producer aur director  ki janib se yeh tayakhun  diya tha ke film se aisay manazir nikaal diye jayen ge magar  trailer  se aisa lagta hai ke woh manazir film mein shaamil rakhay gaye hain. Unhon ney kaha ke yeh manazir Musalmanoun ki dili aazari aur un ke mazhab ki tauheen karte hue danista tor par shaamil kiye gaye hain jo Cinimatography Act. 1952 ki dafaa 5 B ke bhi khilaaf hai. Shikayet mein Supreme Court ki ruling ka bhi hawala diya gaya hai.