Friday, May 17, 2024
HomeSliderFederer ki Nadal ko 20 wah Grand Slam jeetnay par mubarakbaad

Federer ki Nadal ko 20 wah Grand Slam jeetnay par mubarakbaad

Basal: Switzerland ke Roger Federer ne Spine ke Rafael Nadal ko Career ka 20 wah Grand Slam jeetnay par mubarakbaad di hai. Clay Court ke be taaj badshah Nadal ne tareekhi karkardagi ka muzahira karte hue duniya ke number ek khiladi Serbia ke Nowak Djokovic ko French open ke Final mein yaktarfa andaaz mein 0.6, 6-2, 5.7 se harakar Clay Court Grand Slam mein French Open ka khitaab apna naam kiya. Is ke sath hi Nadal ne 20 Grand Slam jeetnay ke Federer ke Record ki barabari karli. Federer ne Tweet kiya ke mein hamesha ek dost aur champion ki hesiyat se apne dost Nadal ki bohat ziyada izzat karta hon. Kayi saloon se mere riwayati hareef ke tor par mera maanna raha hai ke hum ek dosray ke samnay ek sakht challenge pesh karte hain. Mere liye un ke 20 wah Grand Slam jeetnay par mubarakbaad pesh karna aizaz ki baat hai.

Unhoun ne kaha ke yeh bhi khud mein bada aizaz hai ke Nadal ne 13 wi baar French Open khitaab jeeta hai jo khail ke liye ek bohat badi kamyabi hai. Mein un ki team ko bhi mubarakbaad dena chahta hon kyunkay koi bhi shakhs tanha har cheez ko haasil nahi karsaktha hai. Nadal tum ne acha muzahira kiya aur tum jeetnay ke mustahiq ho. Nadal ne 13 martaba French Open, US Open 4 martaba, Wimbledon 2 martabah aur Australian open mein ek martaba kamyabi haasil ki hai jabkay Federer 8 Wimbledon, 6 Australian Open, 5 US open aur ek martaba French Open khitaab haasil kiya hai. Djokovic 17 Grand Slam khitabat ke sath teesray number par hain.

Wazeh rahay ke Clay Court ke be taaj badshah Spine ke Rafael Nadal ne tareekhi karkardagi ka muzahira karte hue aalmi number ek khiladi Serbia ke Novak Djokoivc ko French open ke final mein raast sets mein ba aasani shikast day kar yahan apni 100 wi kamyabi darj ki. 13 wi martaba French open ka khitaab jeeta aur Switzerland ke Roger Federer ke 20 grand Slam khitabat ke aalmi Record ki barabari karli. Nadal aur Djokovic ke mabain blockbuster final ki umeed ki jarahi thi lekin Nadal ne final ko mukammal tour par yaktarfa banatay hue match 2 ghantay 41 minute mein khatam kardiya. Djokovic par Semifinal mein panchwin Set Yunnan ke Stefanos Staspas ke khilaaf 5 Sets ki kamyabi ki thakaan nazar aayi aur woh apna set feesad muzahira nahi kar sakay. Doosri janib Nadal ne French open mein 102 match mein 100 wi kamyabi haasil ki.